yahova ke sakshi desh ke raajnaitik maamlon mein hissa kyon nahin lete?
yahova ke sakshi vishvas karte hain ki bible ke mutabik raajneeti mein hissa lena sahi nahin hai. hum kisi raajneta par koi prabhav daalne ki koshish nahin karte. hum kisi raajnaitik pad ko nahin lete aur naa hi sarkar badalne ki koshish karte hain. aisa karne ki hamare paas kai vajah hain, jo bible mein di gayi hain.
pehli vajah hai ki hum yeeshu ke nakshe-kadam par chalte hain. ek baar logon ne jab use raja banane ki koshish ki tab usne isse inkar kar diya tha. (yuhanna 6:15) usne apne chelon ya shishyon ko sikhaya ki woh “duniya ke nahin hain.” is tarah usne dikhaya ki unhein kisi bhi raajnaitik mudde mein dakhal nahin dena chahiye.—yuhanna 17:14, 16; 18:36; markus 12:13-17.
doosri vajah hai ki hum vafadari se parmeshvar ke raaj ya sarkar ka samarthan karte hain. yeeshu ne is raaj ke baare mein apne chelon se kaha: “raaj ki is khushkhabri ka saare jagat mein prachar kiya jaayega.” (matti 24:14) isliye jab hum parmeshvar ke raaj ke pratinidhi hone ke naate uska ailan poori duniya mein kar rahe hain, to hum kaise kisi aur ki sarkar ya party ka samarthan ya ailan kar sakte hain, fir chahe vo party kisi bhi desh ki kyon naa ho.—2 kurinthiyon 5:20; ifisiyon 6:20.
teesri vajah hai ki hum sab logon ko parmeshvar ke raaj ki khushkhabri sunana chahte hain, chahe woh kisi bhi raajnaitik dal ke kyon naa hon. aisa karne ke liye hamara nishpaksh rehna bahot zaroori hai, tabhi hum bejhijhak khushkhabri suna paayenge. iske alava, hum apni baaton aur kaamon se dikhate hain ki hum parmeshvar ke raaj par vishvas karte hain aur maante hain ki uska raaj hi duniya ki saari dukh-takleefein mitayega.—bhajan 56:11.
yahova ke sakshi alag-alag raajnaitik dalon ka hissa nahin hain, isi vajah se poori duniya mein unke beech ekta hai. (kulussiyon 3:14; 1 patras 2:17) iske bajay jin dharmon mein log raajnaitik dalon mein bate huye hain, unmein aisi ekta nahin paayi jaati.—1 kurinthiyon 1:10.
sarkar ke liye aadar. haalaanki hum kisi bhi raajnaitik maamle mein hissa nahin lete magar fir bhi hum apne desh ki sarkar ke adheen rehte hain. yah bible ki is aagya ke mutabik hai: “har insan apne oopar thehraye gaye uchch-adhikariyon ke adheen rahe.” (romiyon 13:1) hum sarkar ke banaye niyamon ka paalan karte hain, tax ya kar chukate hain aur naagrikon ki bhalai ke liye sarkar jo bhi kaam karti hai usmein apna yogdan dete hain. kisi sarkar ko girane ki koshish karne ke bajay, hum bible ki is salah ko maante hain, jahaan likha hai: “raajaon aur un sabhi ke liye jo unchi padvi rakhte hain” prarthna karo. aisa khaaskar tab zaroori hai jab woh koi aisa faisla lenevale hon, jisse hamare prachar kaam par bura asar pad sakta hai.—1 timuthiyus 2:1, 2.
hum maante hain ki raajnaitik maamlon mein har kisi ko apna faisla lene ka hak hai. isliye hum chunav ke dauran shaanti banaye rakhte hain, aur jo log vote dena chahte hain unhein aisa karne se nahin rokte.
raajneeti mein hissa naa lene ki soch kahaan se shuroo hui. iski shurooat pehli sadi mein hui. us zamane ke maseehi bhi kisi raajnaitik maamle mein dakhal nahin dete the. ek kitab beyond good intentions kehti hai: “pehli sadi ke maseehi yah to maante the ki unhein sarkari adhikariyon ki baat maanni chahiye, magar woh raajnaitik maamlon mein hissa nahin lete the.” usi tarah ek aur kitab on the road to civilization kehti hai ki pehli sadi ke maseehi “kisi raajnaitik pad ko nahin lete the.”
hamara kisi raajneeti mein hissa naa lena, kya desh ke liye khatra saabit ho sakta hai? nahin. hum aman-shaanti se jeenevale naagrik hain. sarkari adhikariyon ko hamse koi khatra nahin hai. gaur keejiye 2001 mein ukraine mein vigyan ki raashtreeya academy ki ek report kehti hai: “aaj shaayad kuch log yahova ke sakshiyon ki is soch ko pasand naa karein, isi vajah se unhein germany mein naatzee aur communist shaasan ke dauran sataya gaya.” iske alava jab soviet sarkar ne bhi unhein sataya tab bhi woh “achhe naagrik bane rahe. unhonne jahaan bhi kaam kiya, poori imandari aur lagan se kiya. is dauran woh communist sarkar liye koi khatra saabit nahin huye.” aakhir mein yah report kehti hai ki theek usi tarah, aaj bhi yahova ke sakshiyon ke vishvas ya unke kaam, desh ki shaanti aur suraksha ke liye khatra nahin hain.