parmeshvar ka vachan kaun hai ya kya hai?
shastra se javab
“parmeshvar ka vachan” in shabdon ka aksar matlab hota hai parmeshvar ki taraf se ek ya kai sandesh. (luka 11:28) kuch aayton mein “parmeshvar ka vachan” ya sirf “vachan” upadhi ki tarah istemal kiya gaya hai.—prakashitvakya 19:13; yuhanna 1:14.
parmeshvar ki taraf se sandesh. bhavishyavaktaon ne kai baar kaha ki woh jo sandesh suna rahe hain woh “parmeshvar ka vachan” hai. jaise ki ahiyah, yehoo aur eliyah ne ‘yahova ka vachan’ sunaya. (1 raja 14:18; 16:12; 2 raja 9:36) dusht logon ko chetavni dete vakt bhavishyavakta yashayah ne kaha, “hey dingein maarnevalo, hey yarooshalem ke logon ke shaasko, yahova ka vachan suno!”—yashayah 28:14.
upadhi. bible yeeshu ko bhi “vachan” kehti hai. jab woh dharti par tha aur swarg mein bhi use “vachan” kaha gaya hai. hum kaise keh sakte hain ki yah upadhi yeeshu ke liye hi istemal hui hai? aaiye iski kuch vajahon par dhyan dein:
vachan baaki sab srishti se pehle jeeya. “shurooat mein vachan tha . . . yahi shurooat mein parmeshvar ke saath tha.” (yuhanna 1:1, 2) yeeshu “saari srishti mein pehlautha hai . . . woh baaki sab cheezon se pehle tha.”—kulussiyon 1:13-15, 17.
vachan dharti par insan bankar aaya. “vachan insan bana aur hamare beech raha.” (yuhanna 1:14) maseeh yeeshu ne “apna sabkuch tyag diya aur ek daas ka roop liya aur insan ban gaya.”—filippiyon 2:5-7.
vachan parmeshvar ka beta hai. yah kehne ke baad ki “vachan insan bana” preshit yuhanna ne kaha, “hamne uska tej dekha, aisa tej jaisa ek pita ke iklaute bete ka hota hai.” (yuhanna 1:14) yuhanna ne yah bhi likha, “yeeshu parmeshvar ka beta hai.”—1 yuhanna 4:15.
vachan mein parmeshvar ke jaise gun hain. vachan “ishvar jaisa” tha. (yuhanna 1:1; footnote) yeeshu mein “parmeshvar ki mahima jhalakti hai aur woh parmeshvar ki hoo-ba-hoo chhavi hai.”—ibraniyon 1:2, 3.
vachan raja bankar raaj karta hai. bible kehti hai parmeshvar ke vachan ke sir par “bahot-se mukut hain.” (prakashitvakya 19:12, 13) vachan ko “raajaon ka raja aur prabhuon ka prabhu” bhi kaha gaya hai. (prakashitvakya 19:16) yeeshu ko bhi “raajaon ka raja aur prabhuon ka prabhu” kaha gaya hai.—1 timuthiyus 6:14, 15.
vachan parmeshvar ki taraf se bolta tha. yeeshu ko mili “vachan” ki upadhi se pata chalta hai ki parmeshvar uske zariye jaankari aur hidaytein deta hai. is baare mein yeeshu ne kaha, “khud pita ne, jisne mujhe bheja hai, mujhe aagya di hai ki main kya-kya bataun aur kya-kya boloon . . . isliye main sirf vahi baatein batata hoon jo pita ne mujhe batayi hain.”—yuhanna 12:49, 50.