kya jooa khelna paap hai?
bible ka javab
jooa khelna sahi hai ya nahin, is baare mein bible mein zyada jaankari nahin di gayi hai. magar bible mein diye siddhaanton se pata chalta hai ki jooa khelna parmeshvar ki nazar mein paap hai.—ifisiyon 5:17. *
jooa laalach ki vajah se khela jaata hai aur parmeshvar laalach se nafrat karta hai. (1 kurinthiyon 6:9, 10; ifisiyon 5:3, 5) jooa khelnevale doosron ka nuksan karke paisa kamate hain lekin bible kehti hai ki doosron ki cheezon ka laalach karna bilkul galat hai.—nirgaman 20:17; romiyon 7:7; 13:9, 10.
thode-se paise ke liye jooa khelna bhi dil mein laalach badha sakta hai aur yah baad mein khatarnak saabit hota hai.—1 timuthiyus 6:9, 10.
jooa khelnevale zyadatar andhvishvas ya kismat par bahot bharosa karte hain. lekin parmeshvar ke mutabik aisi dhaarnayen rakhna ek tarah ki moortipooja hai jo ki parmeshvar ki upasna ke staron ke khilaf hai.—yashayah 65:11.
bible hamein yah badhava nahin deti ki hum bina koi kaam kiye kuch haasil karne ki koshish karein, balki yah hamein kadi mehnat karne ki salah deti hai. (sabhopdeshak 2:24; ifisiyon 4:28) jo bible ki yah salah maante hain woh “apni kamai ki roti” khaa paate hain.—2 thisslunikiyon 3:10, 12.
jooa khelne se hod lagane ki bhaavna paida ho sakti hai jise bible mein galat bataya gaya hai.—galatiyon 5:26.
^ para. 1 bible mein jooa khelne ka seedha-seedha zikra sirf ek vaakaye mein aata hai. us vaakaye mein bataya gaya hai ki romi sainikon ne yeeshu ka kapda aapas mein baantne ke liye ‘paasa feinka’ tha.—matti 27:35, easy-to-read version; yuhanna 19:23, 24.