kya ishvar hum par dukh-takleefein laata hai?
shastra se javab
bible is baat par zor deti hai ki parmeshvar doshi nahin hai! yahova parmeshvar ne dukh-takleefein jhelne ke liye insanon ko nahin banaya tha. dukh-takleefein isliye aayin kyonki pehle insani jode ne parmeshvar ki hukoomat ke khilaf kaam kiya. un donon ne faisla kiya ki woh apna achha-bura khud tay kareinge. unhonne parmeshvar se munh mod liya aur unhein iske bure anjam bhugatne pade.
aaj hum unke galat faisle ke anjam bhugat rahe hain. isse yah baat saaf ho jaati hai ki parmeshvar ko insan ki dukh-takleefon ke liye doshi nahin thehraya jaa sakta.
shastra kehta hai, “jab kisi ki pareeksha ho rahi ho to woh yah na kahe, “parmeshvar meri pareeksha le raha hai.” kyonki na to buri baaton se parmeshvar ki pareeksha li jaa sakti hai, na hi woh khud buri baaton se kisi ki pareeksha leta hai.” (yakub 1:13) dukh-takleefein kisi par bhi aa sakti hain, un par bhi jo parmeshvar ke nek bande hain.