parivar ke liye madad
achhe number laane mein aap kaise apne bachche ki madad kar sakte hain
agar bachche padhai par bilkul dhyan na dein, homework na karein aur padhne se ji churayen, to din-b-din unke number kam aayenge aur padhai ko lekar unka ravaiya bigadta jaayega. agar aapke bachche ke maamle mein yah baat sach hai, to achhe number laane mein aap kaise uski madad kar sakte hain?
aapko kya maaloom hona chahiye
bachche par dabav daalne se samasya aur badh jaayegi. agar aap padhai ko lekar bachche par dabav daaleinge, to school mein aur ghar par bhi bachcha tanav mein rahega. fir is tanav se chhutkara paane ke liye woh shaayad jhooth bolega, kam number aane par aapko nahin batayega, report card par aapka nakli hastakshar kar dega ya school nahin jaayega. is tarah samasya badtar hoti jaayegi.
inam dene ka nateeja bura ho sakta hai. andrew naam ka ek pita kehta hai, “jab bhi hamari beti ke number achhe aate, to hum use bataur inam kuch dete the taaki woh aise hi achhe number laati rahe. lekin aisa karne ki vajah se uska dhyan bas inam paane par laga rehta tha. jab uske kam number aate, to woh isliye nirash ho jaati thi ki use inam nahin mila, na ki isliye ki uske kam number aaye hain.
teacharon par dosh lagane se bura asar hoga. agar aap bachche ke kam number ke liye teacheron ko doshi thehrayenge, to bachcha yahi maan baithega ki achhe number laane ke liye mehnat karne ki zaroorat nahin padti. aur woh bhi apni galtiyon ke liye doosron ko kasoorvar thehrayega aur yah ummeed karega ki doosre log uski samasyaon ka hal kareinge. chand shabdon mein kahein to aapka bachcha apne kaamon ke liye khud zimmedar mehsoos nahin karega, jabki bade hone par yah uske liye bahot zaroori hai.
aap kya kar sakte hain
apne gusse par kaaboo paaiye. agar aapko bachche ke kam number dekhkar gussa aata hai, to us vakt nahin balki baad mein bachche se number ke baare mein baat keejiye. brett naam ka ek pita kehta hai, “jab main aur meri patni thande dimag se kaam lete hain aur bachche se hamdardi rakhte hain, to hamein bahot achhe nateeje milte hain.”
bible ka siddhaant: ‘sunne mein furti karein, bolne mein utavli na karein aur gussa karne mein jaldbazee na karein.—yakub 1:19.
jaaniye ki samasya ki asal vajah kya hai. zyadatar bachchon ke kam number aane ki vajah yah hai ki doosre bachche unke saath gundagardi karte hain, unka school badal diya jaata hai, imtihan ko lekar bachche tanav mein pad jaate hain, parivar mein samasyayen hoti hain, bachchon ki nind poori nahin hoti, unki koi samay-saarni nahin hoti ya woh padhne mein dhyan nahin laga paate. yah mat maan baithiye ki aapka bachcha aalsi hai.
bible ka siddhaant: “jo androoni samajh dikhata hai use kaamyabee milti hai.”—neetivachan 16:20.
aisa maahaul taiyar keejiye ki bachcha achhi tarah padh sake. homework karne aur padhne ke liye ek samay-saarni banaiye. bachche ke liye aisi jagah ka intazam keejiye jahaan woh bina dhyan bhatkaye homework kar sake. (vahaan TV aur mobile phone bhi na hon.) thode-thode samay tak usse homework karne ke liye kahiye taaki use dhyan lagane mein aasani ho. germany ka rehnevala hector kehta hai, “jab imtihan ka samay paas aa raha hota hai, to hum har din thoda-thoda karke usse taiyari karate hain aur imtihan ke din tak nahin rukte.”
bible ka siddhaant: “har cheez ka ek samay hota hai.”—sabhopdeshak 3:1.
use padhne ka badhava deejiye. agar aapka bachcha is baat ko samjhega ki padhai karne se use abhi se kya faayda hoga, to use padhne ka aur bhi man karega. misal ke liye, agar woh ganit achhi tarah seekhega, to use jeb-kharch ke liye milnevale paise ka hisab-khitab woh achhi tarah rakh paayega.
bible ka siddhaant: ‘buddhi haasil kar, samajh haasil kar. use anmol jaan.’—neetivachan 4:5, 8.
sujhav: homework karne mein bachche ki madad keejiye, magar aap uska homework mat keejiye. andrew kehta hai, “hamari bachchi homework mein milnevale savalon ka khud hal dhoondhne ke bajay hum par nirbhar ho gayi.” bachche ko sikhaiye ki woh khud apna homework kaise kar sakta hai.