naujavanon ke saval
main nirasha ka saamna kaise karoon?
nirasha (depression) ka saamna karne ke liye agar aap kuch achhi tarkeebein apnayen to aap achha mehsoos kar sakte hain!
aap kya kareinge?
zara in haalaat ke baare mein sochiye:
jennifer ki muskan kahin kho gayi hai. woh bas har din bina vajah roti rehti hai. woh sab logon se kati-kati rehti hai. uski bhookh mar-si gayi hai. woh na to raat ko theek se so paati hai, na hi kisi baat par dhyan de paati hai. woh man-hi-man sochti hai, ‘yah mujhe kya ho raha hai? kya main fir kabhi pehle jaisi khush reh paaungi?’
mark ek honhar vidyarthi hua karta tha. magar ab use school se nafrat-si ho gayi hai. woh padhai mein bahot kamzor ho gaya hai. pehle use khelkood mein hissa lena bahot achha lagta tha, magar ab woh bejan-saa ho gaya hai. uske doston ko samajh nahin aa raha hai ki aakhir use kya ho gaya hai. uske maata-pita ko uski chinta lagi rehti hain: ‘kya yah badlav kuch samay ka hai ya use kuch ho gaya hai?’
kya aap aksar jennifer ya mark ki tarah mehsoos karte hain? agar haan, to aap kya kar sakte hain? aapke saamne do raaste hain.
aap khud-ba-khud isse baahar aane ki koshish kar sakte hain
aap kisi badi umrvale vyakti se baat kar sakte hain jis par aapko bharosa hai
shaayad pehla raasta apnane ka aapka man kare, khaaskar tab jab aap apne haalaat ke baare mein kisi se baat karna nahin chahte. magar kya yah samajhdari hogi? bible batati hai, “ek se bhale do hain kyonki . . . agar unmein se ek gir jaaye, to uska saathi use utha lega. lekin jo akela hai use girne par kaun uthayega?”—sabhopdeshak 4:9, 10.
ek udahran leejiye: aap ek aise ilake mein kho gaye hain jahaan bahot jurm hote hain. raat hoti jaa rahi hai aur aapke saath kuch bhi ho sakta hai. aise mein aap kya kareinge? aap chahe to khud-ba-khud us ilake se baahar nikalne ki koshish kar sakte hain. magar kya aapke liye samajhdari nahin hogi ki aap kisi aise vyakti ko madad ke liye bulayen jis par aapko bharosa hai?
nirasha se guzarna, aise khatarnak ilake mein kho jaane jaisa hai. yah sach hai ki kabhi-kabhi nirasha ki bhaavna kuch vakt ke liye aapko aa gherti hai aur thode samay baad chali jaati hai. lekin agar nirasha aap par lambe samay tak haavi hai to aise mein madad maangna behtar hoga.
bible ka siddhaant: “khud ko doosron se alag karnevala . . . aisi buddhi ko thukra deta hai, jo use faayda pahuncha sakti hai.”—neetivachan 18:1.
doosra raasta apnana zyada faaydemand ho sakta hai. aap apni mammi ya apne paapa se, ya umra mein bade kisi aise vyakti se baat kar sakte hain jis par aapko bharosa hai. woh kabhi-na-kabhi buri bhaavna se guzre honge aur us par kaaboo paaya hoga. isliye unke tajurbe se aap kaafi kuch seekh sakte hain.
magar aap shaayad kahein: ‘mere mammi-paapa nahin samjheinge ki mujh par kya beet rahi hai!’ kya aapko pakka yakeen hai ki woh nahin samjheinge? maana ki jab woh aapki umra ke the tab ke haalaat aur aaj ke haalaat mein fark hain, magar yah zaroori nahin ki unki bhaavnayen aapki bhaavnaon se alag hon. aur kya pata, shaayad aapki samasya ka hal unke paas ho!
bible ka siddhaant: “kya buddhi, bade-boodhon mein nahin paayi jaati? kya samajh unmein nahin hoti jinhonne lambee umra dekhi hai?”—ayyoob 12:12.
zaroori baat: agar aap mammi, paapa ya kisi aise bade vyakti se baat karein jis par aapko bharosa hai, to woh aapko badhiya salah dekar aapki madad kar sakte hain.
agar aapko gehri nirasha hai to aap kya kar sakte hain?
agar aap har din nirash rehte hain to aapko shaayad gehri nirasha (ya clinical depression) ki beemari ho gayi hai. iske liye aapko ilaj ki zaroorat hai.
kishoravastha mein bachchon par aksar kuch vakt ke liye maayoosi chhaa jaati hai. isliye kai naujavan jab gehri nirasha ke shikar hote hain to unhein is baat ka pata nahin rehta, kyonki maayoosi aur gehri nirasha ke lakshan kaafi milte-julte hain. fark sirf itna hai ki gehri nirasha ke lakshan aur bhi zabardast hote hain aur lambe samay tak rehte hain. isliye agar aap lambe samay tak udasi mein doobe rehte hain to kyon na aap apne mammi-paapa se baat karein ki woh aapko kisi doctor ko dikhayen?
bible ka siddhaant: “jo bhale-change hain unhein vaid ki zaroorat nahin hoti, magar beemaron ko hoti hai.”—matti 9:12.
agar doctari jaanch ke baad aapko bataya jaata hai ki aapko gehri nirasha hai to sharminda mehsoos mat keejiye. aajkal javan logon mein yah ek aam beemari ho gayi hai aur iska ilaj hai! aapki beemari ke baare mein jaanne ke baad aapke sachche dost aapko neecha nahin dekheinge.
ise aazmaiye: sabra rakhiye. gehri nirasha se ubarne mein vakt lagta hai. yaad rakhiye ki kuch din aap achha mehsoos kareinge to kuch din aise honge jab aapko kuch bhi achha nahin lagega. *
nirasha se ubarne ki tarkeebein
chahe aapko ilaj ki zaroorat ho ya na ho, aap lambe samay tak rehnevali udasi ka saamna karne ke liye kuch kadam utha sakte hain. jaise, niyamit taur par kasrat keejiye, paushtik khaana khaaiye aur bharpoor nind leejiye. isse aap apni bhaavnaon par kaaboo paa sakeinge. (sabhopdeshak 4:6; 1 timuthiyus 4:8) ek diary rakhna bhi madadgar saabit ho sakta hai. usmein aap likh sakte hain ki aapke andar kaisi bhaavnayen uth rahi hain, nirasha ka saamna karne ke liye aapne kya lakshya rakhe hain, kab aap nirasha ka saamna karne se chook gaye hain aur kab aap kaamyab rahe hain.
chahe aap gehri nirasha se joojh rahe hon ya aise daur se guzar rahe hon jismein apni bhaavnaon par kaaboo paana aapko mushkil lag raha hai, yah baat hamesha yaad rakhiye: agar aap doosron ki madad lein aur khud bhi kuch kadam uthayen to aap nirasha ka saamna kar sakte hain.
bible ki aaytein jinse aapko madad mil sakti hai
“yahova toote manvalon ke kareeb rehta hai, woh unhein bachata hai jinka man kuchla hua hai.”—bhajan 34:18.
“apna saara bojh yahova par daal de, woh tujhe sambhalega. woh nek jan ko kabhi girne nahin dega.”—bhajan 55:22.
“main tera parmeshvar yahova, tera daayaan haath thaame huye hoon, main tujhse kehta hoon, ‘mat dar, main teri madad karoonga.’”—yashayah 41:13.
“agle din ki chinta kabhi na karna.”—matti 6:34.
“har baat ke baare mein prarthna aur minnaton aur dhanyavad ke saath parmeshvar se bintiyaan karo. tab parmeshvar ki woh shaanti jo samajh se pare hai, maseeh yeeshu ke zariye tumhare dil ki . . . hifazat karegi.”—filippiyon 4:6, 7.
^ agar aapne kai baar apni jaan lene ki sochi hai to fauran kisi aise bade vyakti se baat keejiye jis par aapko bharosa hai. zyada jaanne ke liye julai-sitambar 2014 ki sajag hoiye! dekhein jismein chaar bhaagonvala yah shrriankhala lekh diya gaya hai: “aakhir kis liye jeeun?”