bible ki salah—har yug ke liye
kalpana keejiye: aap ek sangrahalay dekhne gaye hain, jismein purani kalakritiyaan rakhi gayi hain. zyadatar kalakritiyaan tooti-footi hain, unka rang feeka pad gaya hai aur unki nakkashi bilkul bhi dikhayi nahin de rahi hai. kuch moortiyon ke to kaafi saare hisse gaayab hain. magar tabhi aapki nazar ek moorti par padti hai, jo ekdam sahi salamat hai. uski baareek-se-baareek nakkashi bhi saaf dikhayi de rahi hai. aap guide se poochhte hain, “kya yah koi nayi moorti hai?” guide javab deta hai, “nahin, balki yah to sabse purani moortiyon mein se ek hai. iski kabhi marammat bhi nahin ki gayi.” fir aap poochhte hain, “kyon? kya ise kahin sambhalkar rakha gaya tha?” woh kehta hai, “nahin, isne to sabse zyada mausam ki maar sahi hai aur kai apradhiyon ne ise nasht karne ki bhi koshish ki.” aap dang reh jaate hain aur sochte hain, ‘aakhir yah kis cheez ki bani hai?’
ek maayne mein bible bhi us anokhi moorti jaisi hai. yah ek bahot pracheen kitab hai. duniya mein aur bhi kai pracheen kitabein hain, magar woh samay ke guzarte us sangrahalay ki adhiktar moortiyon ki tarah feeki pad gayi hain. un kitabon mein likhin baatein vaigyaanik khoj se mili jaankari se mel nahin khaatin. swasthya ke baare mein unmein di zyadatar salah faaydemand hone ke bajay kaafi nuksandeh hai. kai pracheen kitabon ke to sirf kuch ansh hi reh gaye hain. unke kai hisse kharab ho gaye hain ya kho gaye hain.
lekin bible un sab pracheen kitabon se ekdam alag hai. ise likhne ka kaam 3,500 saal pehle shuroo kiya gaya tha. itni purani hone ke baavjood is kitab ka koi bhi hissa gaayab nahin hai. beeti sadiyon ke dauran ise mitane ki kai koshishein ki gayin, kai biblein jala di gayin, ise padhne par rok lagayi gayi aur ismein likhi baaton ko jhootha saabit karne ki kai koshishein ki gayin. fir bhi yah aaj tak bilkul surakshit hai. aaj ke yug mein milnevali nayi jaankari ke saamne bible feeki nahin padti, balki hum yah dekhkar dang reh jaate hain ki aakhir itne samay pehle bible mein itni sateek jaankari kaise likh di gayi!—“zamane se peechhe ya apne zamane se aage” naam ka baks dekhiye.
zindagi ke usool jo aaj zaroori hain
shaayad aap kahein, ‘kya aaj ke is aadhunik yug mein bible mein bataye gaye usoolon par chalne se faayda hoga?’ javab ke liye zara sochiye, ‘aaj poori maanavjati ke saamne kaun-si badi-badi samasyayen hain? sabse bhayanak kaun-si hain?’ shaayad aap kahein, yuddh, pradooshan, apradh ya bhrashtachar. neeche bible ke kuch usool diye gaye hain. unhein padhte vakt sochiye ki agar sab log in usoolon ko maanein, to kya duniya behtar nahin ho jaayegi?
shaantipriya banein
“sukhi hain woh jo shaanti kaayam karte hain kyonki woh parmeshvar ke bete kehlayenge.” (matti 5:9) “jahaan tak ho sake, sabke saath shaanti banaye rakhne ki poori koshish karo.”—romiyon 12:18.
daya dikhayen, shama karein
“sukhi hain woh jo dayalu hain kyonki un par daya ki jaayegi.” (matti 5:7) “agar kisi ke paas doosre ke khilaf shikayat ki koi vajah hai, to bhi ek-doosre ki sahte raho aur ek-doosre ko dil kholkar maaf karte raho. jaise yahova * ne tumhein dil kholkar maaf kiya hai, tum bhi vaisa hi karo.”—kulussiyon 3:13.
jaati-bhed na karein
parmeshvar ne “ek hi insan se saare raashtra banaye ki woh poori dharti par rahein.” (preshiton 17:26) “parmeshvar bhedbhav nahin karta, magar har woh insan jo uska dar maanta hai aur sahi kaam karta hai, fir chahe woh kisi bhi raashtra ka kyon na ho, use woh sweekar karta hai.”—preshiton 10:34, 35.
dharti ka nuksan na karein
“yahova parmeshvar ne aadmi ko lekar adan ke baag mein basaya taaki woh usmein kaam kare aur uski dekhbhal kare.” (utpatti 2:15) parmeshvar un logon ko ‘khatm kar dega, jo prithvi ko tabah karte hain.’—prakashitvakya 11:18.
laalach aur anaitikta se ghrina karein
“har tarah ke laalach se khud ko bachaye rakho, kyonki chahe insan ke paas bahot kuch ho, to bhi uski daulat use zindagi nahin de sakti.” (luka 12:15) “jaisa pavitra logon ke liye uchit hai, tumhare beech naajayaz yaun-sambaandh aur kisi bhi tarah ki ashuddhata ya laalach ka zikra tak na ho.”—ifisiyon 5:3.
imandar rahein, mehnat karein
“hum sab baaton mein imandari se kaam karna chahte hain.” (ibraniyon 13:18) “jo chori karta hai woh ab se chori na kare. iske bajay, woh kadi mehnat kare.”—ifisiyon 4:28.
dukhi logon ki madad karein
“jo maayoos hain unhein apni baaton se tasalli do, kamzoron ko sahara do aur sabke saath sabra se pesh aao.” (1 thisslunikiyon 5:14) “anathon aur vidhvaon ki museebaton mein dekhbhal ki jaaye.”—yakub 1:27.
bible mein sirf usoolon ki soochi nahin di gayi hai. yah bhi bataya gaya hai ki in usoolon par chalna zaroori kyon hai aur hum in par kaise chal sakte hain. zara sochiye, agar sab log in usoolon ko maanein, to kya un badi-badi samasyaon ka kaafi had tak hal nahin ho jaayega, jinka saamna poori maanavjati kar rahi hai? asal mein bible ke in usoolon ko maanna purane zamane ke mukable aaj kahin zyada zaroori hai. poori maanavjati ki samasyaon ke alava har insan ki zindagi ki samasyaon ke liye bible mein achhi salah di gayi hai. inhein maanne se bahot faayda ho sakta hai.
bible ki salah ko maanne ke faayde
duniya ke sabse buddhiman insan ne ek baar kaha tha, “buddhi apne nateejon se sahi saabit hoti hai.” (matti 11:19, footnote) iska matlab yah hai ki ek salah ko maanne se jo nateeje milte hain, usi se saabit hota hai ki use maanna buddhimani ki baat thi ya nahin. usi tarah agar bible ki salah sahi hai, to us par chalne se hamein achhe nateeje milne chahiye, zindagi ki samasyaon se nipatne mein madad milni chahiye. kya vaakai aisa hota hai? jaanne ke liye aaiye dekhein ki daayna * naam ki ek stri ka kya anubhav raha.
daayna ke jeevan mein sabkuch achha chal raha tha. woh apne kaam-kaaj mein vyast rehti thi aur uske jeevan mein khushiyaan-hi-khushiyaan thi. fir achanak uski zindagi mein maano bhoochal aa gaya. us par ek-ke-baad-ek museebat toot padi. uski javan beti ki maut ho gayi, uski shaadi toot gayi aur use paison ki tangi jhelni padi. woh kehti hai, “mainne sabkuch kho diya tha, beti, pati, ghar, sabkuch. mujhe laga ki mera vajood hi mit gaya hai, na meri koi pehchan rahi, na jeene ka hausla raha aur na koi ummeed bachi.”
daayna ne pehli baar jeevan ka yah kadva sach anubhav kiya, “hamari umra 70 saal ki hoti hai, agar kisi mein zyada damkham ho to 80 saal ki hoti hai. par ye saal bhi dukh aur museebaton se bhare hote hain, ye jaldi beet jaate hain aur hum gaayab ho jaate hain.”—bhajan 90:10.
daayna ko is mushkil ghadi mein bible se bahot madad mili. isse uski zindagi hi badal gayi. daayna ki tarah bahot-se logon ne paaya hai ki bible ki salah maanne se unki zindagi mein zameen-aasman ka fark aa gaya. unhein bible kuch us anokhi moorti ki tarah lagi, jiske baare mein hamne lekh ki shurooat mein baat ki thi. unhonne paaya ki yah doosri kitabon ki tarah nahin hai, jinki baatein samay ke guzrate kisi kaam ki nahin rehtin. aakhir bible itni khaas kyon hai? kya iski vajah yah hai ki iski rachna baaki kitabon se alag hai? kya sach mein ismein kisi insan ke nahin, balki parmeshvar ke vichar likhe hain?—1 thisslunikiyon 2:13.
shaayad aapko bhi lagta ho ki zindagi kitni chhoti hai aur museebaton se bhari padi hai. jab museebatein jhelna bardasht se baahar ho jaata hai, tab aap dilasa aur sahi maargdarshan paane ke liye kya karte hain?
bible ki salah maanne se aapko teen tarah ke faayde ho sakte hain. ye hain:
aap jahaan tak ho sake, samasyaon mein padne se bacheinge.
samasyayen uthne par unka hal kar paayenge.
jin samasyaon ka koi hal nahin, unka achhi tarah saamna kar paayenge.
aaiye in teen muddon par gaur karein.
^ para. 10 bible ke mutabik parmeshvar ka naam yahova hai.—bhajan 83:18.
^ para. 23 is lekh mein aur aage ke teen lekhon mein kuch naam badal diye gaye hain.