purushon ka chinta karna—bible se kaise paayen madad
jab aap kisi aise vyakti ke baare mein soche jo chintaon * ka saamna kar raha hai, to aapke dimag mein ho sakta hai ki aise vyakti ki tasveer aaye jise dar ke kaale baadlon ne gher liya ho. ya jo subah-subah apne bistar se uth bhi na paaye ya fir jo din-bhar sirf apni chintaon ke baare mein baat karta rehta hai.
ho sakta hai ki kuch log apni chintaon ka saamna karte vakt kuch aisa hi bartav karein. lekin khojkarta kehte hain ki kuch aur log jinmein zyadatar aadmi hain alag hi tareeke se apni chinta zahir karte hain. ek report ke mutabik zyadatar aadmi “apni chintaon ka saamna karne ke liye sharab aur drugs ka sahara lete hain. isse lag sakta hai ki unhein sharab peene ki lat lagi hai, lekin yah asal mein chintaon mein ghire hone ki nishani ho sakti hai. jab aadmi chinta mein doobe hote hain, to aksar woh jaldi gussa ho jaate hain aur chidhne lag sakte hain.”
yah zaroori nahin ki saare hi aadmi ek jaisa bartav karein. lekin log chahe jaise bhi bartav karein, yah ek hakeekat hai ki aaj chintayen badhti jaa rahi hain, kyonki yah ‘sankaton se bhara aisa vakt hai . . . jiska saamna karna mushkil hai.’ (2 timuthiyus 3:1) agar aap chintaon se ghire huye hain, to bible kaise aapki madad kar sakti hai?
chintaon ka saamna karne mein bible ki salah
bible, bharosemand salah ka khazana hai, jisse hamein chintaon ka saamna karne mein madad mil sakti hai. aaiye teen udahranon par gaur karein.
1. “agle din ki chinta kabhi na karna kyonki agle din ki apni hi chintayen hongi. aaj ke liye aaj ki pareshaniyaan kaafi hain.”—matti 6:34.
matlab: buddhimani isi mein hogi ki aage kya honevala hai aur kya nahin is baare mein had se zyada chinta na karein. aksar hamein jis baat ki chinta hoti hai, vaisa nahin hota. kuch maamlon mein haalaat ka rukh aise badalta hai kai baar cheezen behtar ho jaati hain.
ise aazmaiye: aise vakt ke baare mein sochiye ki jab aapko laga ki kuch bura hoga, lekin aisa nahin hua. fir apni aaj ki chintaon ki jaanch keejiye ki kya yah pareshani asal mein aage chalkar koi badi samasya ban sakti hai.
2. “jaise loha lohe ko tez karta hai, vaise hi ek dost doosre dost ko nikharta hai.”—neetivachan 27:17.
matlab: agar hum chahein to apni chintaon ka saamna karne mein doosre hamari madad kar sakte hain. ho sakta hai ki woh hamein apne anubhav se kuch achhe sujhav dein. aur to aur woh hamein apni samasyaon ko kisi doosre nazariye se dekhne mein madad kar sakte hain.
ise aazmaiye: kisi aise vyakti ke baare mein sochiye jo aapko achhi salah de sakta hai. jaise ki koi aisa dost jisne aapki tarah kisi samasya ka saamna kiya ho. usse poochhiye ki kis baat ne uski madad ki aur kis baat ne nahin.
3. “tum apni saari chintaon [ya “dukhon; pareshaniyon,” footnote] ka bojh usi par daal do kyonki use tumhari parvah hai.”—1 patras 5:7.
matlab: parmeshvar unki bahot parvah karta hai jo mushkilon ka saamna kar rahe hain. woh chahta hai ki hum usse dil kholkar prarthna karein aur apni saari pareshaniyon ke baare mein use batayen, jinki chinta hamein sataye jaa rahi hai.
ise aazmaiye: aisi baaton ki list banaiye jinki vajah se aap chintaon ke bojh tale dabe jaa rahe hain. fir un baaton ke baare mein parmeshvar se prarthna keejiye aur har samasya ke baare mein khulkar bataiye aur unka saamna karne ke liye madad maangiye.
jab chintayen nahin raheingi
bible chintaon ka saamna karne ke liye sirf salah hi nahin deti hai. woh ek aise samay ke baare mein batati hai jab chintayen hamesha ke liye khatm kar di jaayengi. par yah sab kaise hoga?
parmeshvar ka raaj chinta karne ki har vajah ko jad se khatm kar dega. (prakashitvakya 21:4) yahaan tak ki is raaj mein, aaj ki chintaon aur pareshaniyon ka khyal tak hamare dil mein nahin aayega.—yashayah 65:17.
“shaanti denevala parmeshvar” aapko aisa hi bhavishya dena chahta hai. (romiyon 16:20) woh hamein yah yakeen dilata hai ki, “mainne soch liya hai ki main tumhare saath kya karoonga. main tum par vipatti nahin laaunga balki tumhein shaanti doonga. main tumhein ek achha bhavishya aur ek aasha doonga.”—yirmayah 29:11.