is jaankari ko chhod dein

vishay-soochi ko chhod dein

paath 03

kya aap bible par yakeen kar sakte hain?

kya aap bible par yakeen kar sakte hain?

ab tak aapne bible se jaana ki parmeshvar ne ek achhi zindagi ka vaada kiya hai aur badhiya salah bhi di hai. yah sab jaankar aapko bahot achha lag raha hoga. lekin aap shaayad sochein, ‘bible to hazaron saal purani kitab hai, kya main iski baaton ko sach maan sakta hoon?’ laakhon logon ko poora yakeen hai ki bible mein likhi baatein sachchi hain. aaiye jaanein ki aap bhi bible par kyon yakeen kar sakte hain.

1. kya bible mein katha-kahaniyaan hain ya sachchi baatein?

bible mein katha-kahaniyaan nahin balki aisi baatein likhi hain jo sach mein hui thi. (sabhopdeshak 12:10) ismein jin logon, samay aur jagahon ka zikra hai, woh kisi ne yoon hi apne man se nahin likh di. agar aap duniya ka itihas padhein, to paayenge ki bible mein likhi ghatnayen sachchi hain. yahi baat khojbeen karnevalon ne bhi khudai karke pata lagayi hai. ek misal par dhyan deejiye: luka 1:3; 3:1, 2 (padhiye).

2. bible purani kitab hai, fir bhi hum ise sach kyon maan sakte hain?

bible mein prithvi aur doosre kuch vishyon ke baare mein jo likha hai, use purane zamane mein log sach nahin maante the. magar vaigyanikon ki khoj se jo pata chala, usse saabit hota hai ki bible mein likhi baatein ekdam sahi hain. bible par ‘aaj aur sada tak bharosa kiya jaa sakta hai.’​—bhajan 111:8.

3. bible mein bhavishya ke baare mein jo likha hai, us par hum kyon yakeen kar sakte hain?

parmeshvar ‘aisi baatein bata sakta hai jo ab tak nahin huin.’ * (yashayah 46:10) usne purane zamane mein kai baar pehale se bata diya tha ki aage kya hoga. aur bilkul vaisa hi hua. hamare zamane ke baare mein bhi usne jo-jo bataya, woh ho raha hai. is paath mein hum aisi hi kuch ghatnaon ki baat kareinge. aapko yah jaankar hairani hogi ki bible mein likhi ek-ek baat kaise poori hui.।

aur jaaniye

dhyan deejiye ki bible mein likhi baatein sach hain, yah vaigyanikon ki khoj se kaise pata chalta hai. bible ki kuch bhavishyavaniyon par bhi gaur keejiye. inke baare mein jaankar aap dang reh jaayenge.

4. bible mein jo likha hai vahi vigyan ne bhi pata kiya hai

purane zamane mein bahot-se log maante the ki prithvi kisi cheez par tiki hai. video dekhiye.

dhyan deejiye ki aaj se 3,500 saal pehale prithvi ke baare mein bible mein kya likha tha. ayyoob 26:7 padhiye. fir aage diye savalon par charcha keejiye:

  • yahaan prithvi ke baare mein kya likha hai? yah kyon hairani ki baat hai ki yah baat hazaron saal pehale bible mein likhi thi?

baarish ka paani jab girta hai, to baad mein vahi paani dobara baadal ban jaata hai aur fir se dharti par barasta hai. ise jal-chakra kaha jaata hai. logon ne yah baat abhi-abhi 200 saal pehale pata ki. lekin bible mein jal-chakra ke baare mein hazaron saal pehale hi bata diya gaya tha. ayyoob 36:27, 28 padhiye. fir aage diye savalon par charcha keejiye:

  • yah kyon hairani ki baat hai ki jal-chakra ke baare mein hazaron saal pehale bible mein likha tha?

  • abhi aapne jo vachan padhe, uske hisab se aap kya kaheinge? kya aap bible par yakeen kar sakte hain?

5. bible mein kuch khaas ghatnaon ke baare mein pehale se likha tha

yashayah 44:27–45:2 padhiye. fir aage diye saval par charcha keejiye:

  • baibilon shehar ki haar se 200 saal pehale hi bible mein kya likha tha?

duniya ke itihas se pata chalta hai ki eesa poorva * 539 mein faaras ke raja kusroo aur uski sena ne baibilon ko jeet liya. kaise? baibilon ke chaaron taraf ek nadi thi jis vajah se dushman shehar ke andar nahin ghus sakte the. magar kusroo ne nadi ka rukh badal diya aur nadi ka paani kam ho gaya. shehar ke faatak bhi khule chhod diye gaye the. isliye woh aasani se shehar mein ghus gaye aur bina lade hi shehar ko jeet liya. aaj 2,500 saal baad bhi baibilon ujaad pada hai. yah baat bhi bible mein pehale se likhi thi.

yashayah 13:19, 20 padhiye. fir aage diye saval par charcha keejiye:

  • aaj baibilon ka jo haal hai, usse kaise saabit hota hai ki yah bhavishyavani bhi poori hui?

baibilon ke khandhar jo aaj iraq mein paaye jaate hain

6. hamare zamane ke baare mein bhi bible mein pehale se likha tha

bible mein likha hai ki duniya ke “aakhiri dinon” mein kya-kya hoga. (2 timuthiyus 3:1) vahi sab aaj hum dekh rahe hain.

matti 24:6, 7 padhiye. fir aage diye saval par charcha keejiye:

  • bible mein pehale se kya likha hai, aakhiri dinon mein haalaat kaise honge?

2 timuthiyus 3:1-5 padhiye. fir aage diye savalon par charcha keejiye:

  • in vachnon mein jaisa likha hai, aakhiri dinon mein log kaise honge?

  • kya aapne bhi logon mein aisa ravaiya dekha hai?

kuch log kehte hain: “kisko pata bible kis zamane ki hai. ise sach kaise maanein?”

  • aapko kis baat se yakeen hua hai ki bible mein likhi baatein sach hain?

ab tak hamne seekha

itihas, vigyan aur bhavishyavaniyon se pata chalta hai ki bible mein likhi baaton ko hum sach maan sakte hain.

aap kya kaheinge?

  • kya bible mein likhi ghatnayen sach mein hui thi?

  • bible mein aisi kaun-si baatein likhi hain jo baad mein vigyan ne bhi pata kin?

  • bible mein bhavishya ke baare mein jo likha hai, kya us par yakeen kiya jaa sakta hai? aapko aisa kyon lagta hai?

lakshya

ye bhi dekhein

kya bible mein aisa kuch likha hai jo vigyan ke hisab se galat hai?

“kya vigyan pavitra shastra se mel khaata hai?” (jw.org par diya lekh)

“aakhiri dinon” ke baare mein bible mein jo likha hai, kya woh aaj ho raha hai?

“bible ki chhe: bhavishyavaniyaan jo poori ho rahi hain” (prahreedurg  lekh)

jaaniye ki yoonan (greece) ke saamrajya ke baare mein bible mein likhi bhavishyavaniyaan kaise poori huin.

“bhavishyavaniyon” se mazboot kiye gaye  (5:22)

bible ki bhavishyavaniyon ke baare mein jaanne se ek aadmi bible par yakeen karne laga. jaaniye kaise.

“mera to maanna tha ki ishvar hai hi nahin” (prahreedurg ank 5 2017)

^ para. 9 parmeshvar jo baatein pehale se bata deta hai ki aage jaakaar kya-kya hoga, use bhavishyavani kehte hain.

^ para. 25 maana jaata hai ki aaj ke samay ka calendar yeeshu ke janm se shuroo hota hai. uske janm ke baad ke saalon ko eesvi san kaha jaata hai aur uske janm se pehale ke saalon ko eesa poorva.