yuhanna ke mutabik khushkhabri 7:1-52

  • yeeshu deron ke tyohar ke liye gaya (1-13)

  • tyohar par yeeshu sikhata hai (14-24)

  • maseeh ke baare mein alag-alag raay (25-52)

7  iske baad yeeshu galeel ka hi daura karta raha. woh yahoodiya nahin jaana chahta tha kyonki yahoodi use maar daalne ki taak mein the.+  yahoodiyon ka deron* ka tyohar+ paas tha.  isliye yeeshu ke bhaaiyon+ ne usse kaha, “yahaan se nikaalkar yahoodiya jaa taaki tu jo kaam karta hai unhein tere sabhi chele dekhein.  isliye ki koi bhi insan jo chahta hai ki sab log use jaanein, woh chhipkar kaam nahin karta. agar tu ye kaam karta hai, to khud ko duniya ke saamne zahir kar.”  darasal uske bhaai us par vishvas nahin karte the.+  isliye yeeshu ne unse kaha, “mera vakt ab tak nahin aaya hai,+ magar tumhare liye to har vakt sahi hai.  duniya ke paas tumse nafrat karne ki koi vajah nahin hai, magar yah mujhse nafrat karti hai kyonki main yah gavahi deta hoon ki iske kaam dusht hain.+  tum tyohar ke liye jaao. main is tyohar ke liye abhi nahin jaa raha, kyonki mera vakt abhi nahin aaya hai.”+  unse yah kehne ke baad, woh galeel mein hi raha. 10  magar jab uske bhaai tyohar ke liye chale gaye, to uske baad woh khud bhi gaya. lekin woh chhipkar gaya taaki log use na dekhein. 11  isliye tyohar ke dauran yahoodi yah kehte huye use dhoondhne lage, “woh aadmi kahaan hai?” 12  logon ke beech uske baare mein bahot-si dabi-dabi baatein ho rahi thi. kuch kah rahe the, “woh achha aadmi hai.” doosre kah rahe the, “nahin, woh aadmi achha nahin hai. woh logon ko gumrah karta hai.”+ 13  magar yahoodiyon ke dar se koi bhi sabke saamne uske baare mein baat nahin karta tha.+ 14  jab tyohar ke aadhe din beet chuke, to yeeshu mandir mein gaya aur sikhane laga. 15  isliye yahoodi taajjub karne lage aur kehne lage, “is aadmi ko shastra* ka itna gyaan kahaan se mila?+ isne to kabhi dharm guruon ke schoolon* mein padhai bhi nahin ki!”+ 16  yeeshu ne unhein javab diya, “jo main sikhata hoon woh meri taraf se nahin balki uski taraf se hai jisne mujhe bheja hai.+ 17  agar koi parmeshvar ki marzee poori karna chahta hai, to woh jaan lega ki main jo sikha raha hoon woh parmeshvar ki taraf se hai+ ya mere apne vichar hain. 18  jo apne vichar sikhata hai, woh apni badai chahta hai. magar jo apne bhejnevale ki badai chahta hai+ woh sachcha hai aur usmein jhooth nahin. 19  moosa ne tumhein kaanoon diya tha na?+ lekin tummein se koi bhi us kaanoon ko nahin maanta. tum mujhe kyon maar daalna chahte ho?”+ 20  bheed ne use javab diya, “tere andar dusht swargdoot hai. kaun tujhe maar daalna chahta hai?” 21  yeeshu ne unse kaha, “mainne bas ek kaam kiya aur tum sab taajjub kar rahe ho. 22  isliye is baat par gaur karo, moosa ne tumhein khatne ki aagya di thi+ (woh aagya moosa ke zamane se nahin, balki hamare purkhon ke zamane se thi)+ aur tum sabt ke din bhi aadmi ka khatna karte ho. 23  agar sabt ke din ek aadmi ka khatna isliye kiya jaata hai ki moosa ka kaanoon na toote, to tum is baat ko lekar mujh par aag-baboola kyon ho rahe ho ki mainne sabt ke din ek aadmi ko poori tarah tandurust kiya hai?+ 24  jo dikhta hai sirf uske hisab se nyay mat karo, balki sachchai se nyay karo.”+ 25  tab yarooshalem ke kuch log kehne lage, “yah vahi aadmi hai na jise woh maar daalna chahte hain?+ 26  fir bhi dekho! woh logon ke saamne khullam-khulla baatein kar raha hai aur woh use kuch bhi nahin kehte. kahin aisa to nahin ki dharm-adhikariyon ko yakeen ho gaya hai ki yahi maseeh hai? 27  magar hum to jaante hain ki yah aadmi kahaan ka hai.+ lekin jab maseeh aayega to koi nahin jaan paayega ki woh kahaan ka hai.” 28  fir jab yeeshu mandir mein sikha raha tha to usne unchi aavaz mein kaha, “tum mujhe jaante ho aur yah bhi jaante ho ki main kahaan ka hoon. main apni marzee se nahin aaya,+ balki jisne mujhe bheja hai woh sachmuch vajood mein hai aur tum use nahin jaante.+ 29  main use jaanta hoon+ kyonki main uski taraf se aaya hoon aur usi ne mujhe bheja hai.” 30  tab woh use kisi tarah pakadne ka mauka dhoondhne lage,+ magar kisi ne bhi use haath nahin lagaya kyonki uska vakt ab tak nahin aaya tha.+ 31  fir bhi bheed mein se bahoton ne us par vishvas kiya+ aur kaha, “jab maseeh aata to bahot-se chamatkar karta, hai ki nahin? is aadmi ne kya kam chamatkar kiye hain?” 32  fareesiyon ne suna ki bheed uske baare mein ye baatein budbuda rahi hai. aur pradhan yaajkon aur fareesiyon ne yeeshu ko pakadne* ke liye pehredar bheje. 33  tab yeeshu ne kaha, “jisne mujhe bheja hai uske paas jaane se pehale main tumhare saath kuch vakt aur rahoonga.+ 34  tum mujhe dhoondhoge magar nahin paaoge aur jahaan main rahoonga vahaan tum nahin aa sakte.”+ 35  isliye yahoodi aapas mein kehne lage, “yah aadmi kahaan jaana chahta hai ki hum use dhoondh na sakein? yah un yahoodiyon ke paas to nahin jaana chahta jo yoonaniyon ke beech titar-bitar hokar rehte hain? kahin yah yoonaniyon ko to nahin sikhana chahta? 36  yah kya bol raha hai, ‘tum mujhe dhoondhoge magar nahin paaoge aur jahaan main rahoonga vahaan tum nahin aa sakte’?” 37  fir tyohar ke aakhiri din jo sabse khaas din hota hai,+ yeeshu khada hua aur usne zor se kaha, “agar koi pyasa ho to mere paas aaye aur paani peeye.+ 38  jo mujh par vishvas karta hai, ‘uske dil ki gehraiyon se jeevan denevale paani ki dhaarayen baheingi,’ jaisa shastra mein bhi kaha gaya hai.”+ 39  yah baat usne pavitra shakti ke baare mein kahi jo yeeshu par vishvas karnevalon ko milnevali thi. unhein ab tak pavitra shakti nahin mili thi+ kyonki yeeshu ne ab tak mahima nahin paayi thi.+ 40  jab bheed ke kuch logon ne ye baatein sunin, to woh kehne lage, “yah sachmuch vahi bhavishyavakta hai jo aanevala tha.”+ 41  doosre kah rahe the, “yahi maseeh hai.”+ magar kuch log kah rahe the, “maseeh to galeel se nahin aayega, hai ki nahin?+ 42  kya shastra yah nahin kehta ki maseeh daavid ke vansh se+ aur daavid ke gaanv betlehem+ se aayega?”+ 43  isliye yeeshu ki vajah se bheed mein fut pad gayi. 44  unmein se kuch use pakadna* chahte the, fir bhi kisi ne use chhua tak nahin. 45  pehredar, pradhan yaajkon aur fareesiyon ke paas khaali haath laut aaye. tab unhonne pehredaron se poochha, “tum use pakadkar kyon nahin laaye?” 46  pehredaron ne kaha, “aaj tak kisi bhi insan ne uski tarah baat nahin ki.”+ 47  tab fareesiyon ne unse kaha, “kahin tum bhi to gumrah nahin ho gaye? 48  kya dharm-adhikariyon aur fareesiyon mein se ek ne bhi us par vishvas kiya hai?+ 49  magar ye log jo kaanoon ki ratti-bhar bhi samajh nahin rakhte, shaapit log hain.” 50  tab neekudemus ne, jo in dharm-adhikariyon mein se ek tha aur pehale yeeshu ke paas aaya tha, unse kaha, 51  “hamara kaanoon tab tak ek aadmi ko doshi nahin thehrata jab tak ki pehale uski sun na le aur yah na jaan le ki woh kya kar raha hai. kya aisa nahin hai?”+ 52  unhonne neekudemus se kaha, “kahin tu bhi to galeel ka nahin? shastra mein dhoondh aur dekh ki koi bhi bhavishyavakta galeel se nahin aayega.”*

kai footnote

ya “chhapparon.”
yaani rabbiyon ke schoolon.
shaa., “lekhanon.”
ya “giraftar karne.”
ya “giraftar karna.”
kai purani aur jaani-maani hastlipiyon mein yu 7:53 se 8:11 tak ki aaytein nahin paayi jaatin.