yuhanna ke mutabik khushkhabri 12:1-50
12 fasah ke tyohar se chche din pehale yeeshu baitniyah pahuncha. laazar,+ jise yeeshu ne mare huon mein se zinda kiya tha vahin ka rehnevala tha.
2 yeeshu ke liye vahaan shaam ki daavat rakhi gayi aur maartha seva mein lagi hui thi.+ jo log yeeshu ke saath khaane baithe,* unmein laazar bhi ek tha.
3 tab mariyam ne kareeb 327 gram* asli jatamaansi ka khushboodar tel liya jo bahot keemti tha. usne yeeshu ke pairon par yah tel undela aur apne baalon se unhein ponchha. saara ghar is tel ki khushboo se mahak utha.+
4 magar yahooda iskariyoti+ ne, jo yeeshu ke chelon mein se ek tha aur use pakadvanevala tha kaha,
5 “is khushboodar tel ko 300 deenar* mein bechkar iska paisa gareebon ko kyon nahin diya gaya?”
6 magar yah usne isliye nahin kaha ki use gareebon ki chinta thi, balki isliye kaha kyonki woh chor tha aur uske paas paison ka baksa rehta tha jismein se woh paise chura leta tha.
7 tab yeeshu ne mariyam ke liye kaha, “ise chhod do taaki yah mere dafnaye jaane ki taiyari ke liye yah dastoor poora kare.+
8 kyonki gareeb to hamesha tumhare saath honge,+ magar main hamesha tumhare saath nahin rahoonga.”+
9 is beech yahoodiyon ki ek badi bheed ko pata chala ki yeeshu vahaan hai. tab woh na sirf yeeshu ko balki laazar ko bhi dekhne vahaan aaye, jise usne mare huon mein se zinda kiya tha.+
10 ab pradhan yaajkon ne laazar ko bhi maar daalne ki saazish rachi
11 kyonki usi ki vajah se bahot-se yahoodi vahaan jaa rahe the aur yeeshu par vishvas kar rahe the.+
12 agle din, tyohar ke liye aaye logon ki badi bheed ne suna ki yeeshu yarooshalem aa raha hai.
13 tab woh khajoor ki daaliyaan liye usse milne nikle. woh zor-zor se pukarne lage, “hum tujhse binti karte hain, ise bacha le! dhanya hai woh jo yahova* ke naam se aata hai,+ israel ka raja dhanya hai!”+
14 jab yeeshu ko gadhe ka ek bachcha mila, to woh us par baith gaya,+ theek jaisa likha hai,
15 “siyyon ki beti, mat dar. dekh! tera raja gadhe ke bachche par baithkar aa raha hai.”+
16 shuroo mein uske chele in baaton ka matlab nahin samajh paaye. magar jab yeeshu ne mahima paayi+ tab unhein yaad aaya ki unhonne uske liye theek vahi kiya, jo uske baare mein likha tha.+
17 jin logon ne dekha tha ki kaise yeeshu ne laazar ko kabraa* se baahar bulaya+ aur use mare huon mein se zinda kiya, woh is baare mein doosron ko gavahi dete rahe.+
18 us bheed ke log yeeshu se milne isliye aaye the kyonki unhonne is chamatkar ke baare mein suna tha.
19 tab fareesi aapas mein kehne lage, “dekho, hum kuch nahin kar paa rahe. saari duniya uske peechhe jaa rahi hai.”+
20 tyohar ke vakt upasna ke liye aanevalon mein kuch yoonani bhi the.
21 isliye woh filippus+ ke paas aaye jo galeel ke baitsaida ka rehnevala tha aur usse guzarish karne lage, “saahab, hum yeeshu se milna chahte hain.”
22 filippus ne jaakaar andriyas ko bataya. andriyas au filippus ne jaakaar yeeshu ko bataya.
23 magar yeeshu ne unhein javab diya, “woh ghadi aa chuki hai jab insan ka beta mahima paaye.+
24 main tumse sach-sach kehta hoon, jab tak gehoon ka ek daana mitti mein girkar mar nahin jaata, tab tak woh ek daana hi rehta hai. lekin jab woh mar jaata hai+ to bahot fal paida karta hai.
25 jo apni jaan se lagav rakhta hai, woh ise naash karta hai. magar jo is duniya mein apni jaan se nafrat karta hai+ woh ise bachayega taaki hamesha ki zindagi paaye.+
26 jo meri seva karna chahta hai, woh mere peechhe ho le aur jahaan main hoon vahaan mera sevak bhi hoga.+ jo meri seva karega, pita uska aadar karega.
27 ab main aur kya kahoon? mera ji bechain hai.+ hey pita, mujhe is ghadi se bacha le!+ magar main iseeliye to is ghadi tak pahuncha hoon.
28 pita apne naam ki mahima kar.” tab aakash se aavaz+ aayi: “mainne iski mahima ki hai aur fir se karoonga.”+
29 jab aas-paas khadi bheed ne yah aavaz suni, to log kehne lage ki baadal garja hai. doosron ne kaha, “kisi swargdoot ne usse baat ki hai.”
30 yeeshu ne kaha, “yah aavaz meri khaatir nahin balki tumhari khaatir sunayi di hai.
31 ab is duniya ka nyay kiya jaa raha hai aur is duniya ka raja + baahar kar diya jaayega.+
32 magar jahaan tak meri baat hai, jab mujhe dharti se oopar uthaya jaayega,+ to main sab kism ke logon ko apni or khinchoonga.”
33 yah baat usne darasal yah dikhane ke liye kahi ki woh kaisi maut marnevala tha.+
34 tab bheed ne usse kaha, “hamne to kaanoon mein suna hai ki maseeh hamesha tak rahega,+ fir tu kaise kah sakta hai ki insan ke bete ko oopar uthaya jaana hai?+ yah insan ka beta kaun hai?”
35 tab yeeshu ne unse kaha, “raushni bas thodi der aur tumhare beech rahegi. jab tak yah tumhare saath hai, tab tak raushni mein chalte raho taaki andhera tum par haavi na ho. jo andhere mein chalta hai woh nahin jaanta ki woh kahaan jaa raha hai.+
36 jab tak raushni tumhare saath hai, tab tak us par vishvas karo aur tum raushni ke bete+ kehlaoge.”
yeeshu ye baatein kehne ke baad chala gaya aur unse chhip gaya.
37 usne unke saamne bahot-se chamatkar kiye the, fir bhi woh us par vishvas nahin kar rahe the.
38 is tarah bhavishyavakta yashayah ki kahi yah baat poori hui, “hey yahova,* kisne hamare sandesh par vishvas kiya hai?+ yahova* ne apni taakat* kis par zahir ki hai?”+
39 unhonne kyon yakeen nahin kiya, iski vajah batate huye yashayah fir kehta hai,
40 “usne unki aankhein andhi kar di hain aur unke dil kathor kar diye hain taaki na woh kabhi apni aankhon se dekhein aur na hi apne dilon se samjhein aur na woh palatkar laut aayen aur main unhein changa karoon.”+
41 yashayah ne maseeh ke baare mein ye baatein isliye kahin kyonki usne maseeh ki mahima dekhi thi.+
42 haalanki bahot-se dharm-adhikariyon ne bhi yeeshu par vishvas kiya,+ magar woh fareesiyon ke dar se khulkar use sweekar nahin karte the taaki unhein sabha-ghar se na kar diya jaaye.+
43 unhein parmeshvar se milnevali mahima se zyada insanon se milnevali mahima pyari thi.+
44 magar yeeshu ne zor se kaha, “jo mujh par vishvas karta hai woh mujh par hi nahin balki us par bhi vishvas karta hai jisne mujhe bheja hai.+
45 aur jo mujhe dekhta hai woh use bhi dekhta hai jisne mujhe bheja hai.+
46 main is duniya mein raushni bankar aaya hoon+ taaki har koi jo mujh par vishvas karta hai woh andhere mein na rahe.+
47 lekin agar koi meri baatein sunta hai magar unhein maanta nahin, to main use doshi nahin thehraunga kyonki main duniya ko doshi thehrane nahin balki bachane aaya hoon.+
48 jo koi mujhe thukra deta hai aur mere vachan sweekar nahin karta, use doshi thehranevala koi aur hai. jo vachan mainne kaha hai vahi use aakhiri din mein doshi thehrayega.
49 kyonki mainne apni taraf se kuch nahin kaha. magar khud pita ne, jisne mujhe bheja hai, mujhe aagya di hai ki main kya-kya bataun aur kya-kya boloon.+
50 aur main jaanta hoon ki uski aagya maanne ka matlab hamesha ki zindagi hai.+ isliye main sirf vahi baatein batata hoon jo pita ne mujhe batayi hain.”+