yashayah 58:1-14
58 usne mujhse kaha, “chup mat reh, gala faadkar chilla!
narsinge ki tarah unchi aavaz mein chilla.
mere logon ko unke apradh bata,+yakub ke gharane ko uske paap suna.
2 woh har din meri khoj mein rehte hain,meri raahon ko jaanne ke liye aise khush hote hain,maano woh neki ki raah par chalnevala raashtra hon,jisne apne parmeshvar ke niyamon ko kabhi na taala ho.+
woh mere nek faislon ke baare mein aise poochhte hain,maano unhein apne parmeshvar ke kareeb aane mein khushi mil rahi ho.+
3 woh kehte hain, ‘jab hum upvas karte hain tab tu kyon nahin dekhta?+
jab hum apne paapon ke liye dukh manate hain tab tu kyon dhyan nahin deta?’+
kyonki tum upvas ke din bhi apni ichha* poori karne mein lage rehte ho,apne mazdooron par zulm dhaate ho.+
4 upvas ke din ladai-jhagda karte hoaur karare mukke jamate ho.
jis tarah ke upvas tum aajkal karte ho, usse swarg mein tumhari nahin suni jaayegi.
5 kya mainne tumhein is tarah upvas karne ko kaha haiki tum us din khud ko dukh pahunchao,lambee-lambee ghaas ki tarah apna sir jhukao,taat aur raakh ko apna bistar banao?
kya tum ise upvas kehte ho? kya is tarah yahova ko khush kiya jaata hai?
6 nahin! main jo upvas chahta hoon woh yah hai
ki tum anyay ki bediyaan tod do,juye ke bandhan khol do,+zulm sehnevalon ko riha karo,+har juye ke do tukde kar do.
7 apni roti bhookhon ke saath baanto,+gareeb aur beghar logon ko apne ghar mein panah do,kisi ko nanga dekhkar use tan dhakne ke liye kapde do,+apne jaati bhaaiyon se munh mat modo.
8 tab tumhari raushni subah ki kirnon ki tarah chamkegi+aur jald hi tum change ho jaaoge.
neki tumhare aage-aage chalegiaur yahova ka tej tumhari raksha ke liye peechhe-peechhe aayega.+
9 tum yahova se fariyad karoge aur woh tumhein javab dega,tum madad ke liye use pukaroge aur woh kahega, ‘main yahaan hoon.’
agar tum apne beech se jua feink do,doosron par ungli uthana band karo, unke baare mein galat baatein bolna chhod do,+
10 agar tum kisi bhookhe ko woh cheez do jo khud tumhein chahiye+aur sataye huon ka poora khayal rakho,tab tumhari raushni andhere mein bhi chamkegiaur tumhara andhkar, bhari dopahri ki tarah jagmagayega.+
11 yahova hamesha tumhare aage-aage chalegaaur sookhe desh mein bhi tumhein tript karega,+woh tumhari haddiyon mein jaan foonk degaaur tum sinche huye baag ki tarah hare-bhare ho jaaoge,+us sote ki tarah ho jaaoge jo kabhi nahin sookhta.
12 tumhare liye purane khandhar fir se banaye jaayenge,+jo ninv sadiyon se ujaad padi hain unhein dobara daala jaayega.+
tumhein tooti sheharpanah ki marammat karnevala kaha jaayega,+un raaston ka bananevala kaha jaayega, jinke aas-paas fir se log baseinge.
13 agar tum sabt ke din, mere pavitra din apni khvahishein poori karne se door raho,+ise apar khushi ka din, yahova ka pavitra din maankar iska aadar karo,+apni khvahishein poori karne aur bekar ki baatein karne ke bajay is din ko khaas samjho,
14 tab tumhein yahova ke kaaran apar khushi milegi.
tab main dharti ki unchi-unchi jagahon ko tumhare adheen kar doonga+
aur tumhare purkhe ki zameen se tumhein upaj khilaunga,*haan, yakub ki virasat ki zameen se.+
yah baat yahova ne kahi hai.”