yahejkel 23:1-49

  • do behenein jo bevafa niklin (1-49)

    • ohola, ashshoor ke saath (5-10)

    • oholeeba, baibilon aur misra ke saath (11-35)

    • donon behenon ko saza mili (36-49)

23  yahova ka sandesh ek baar fir mere paas pahuncha. usne mujhse kaha,  “insan ke bete, sun. do aurtein thi jo ek hi maa ki betiyaan thi.+  woh misra mein veshya ban gayin+ aur javani se hi veshya ka kaam karne lagin. vahaan unhonne badchalni ki aur apni pavitrata poori tarah kho di.  unmein se badi behen ka naam ohola* tha aur chhoti ka oholeeba.* woh meri ho gayin aur unhonne bete-betiyonn ko janm diya. ohola darasal saamriya hai+ aur oholeeba, yarooshalem.  ohola jab meri thi tabhi veshya ban baithi.+ apni vaasna poori karne ke liye woh apne padosiyon ke paas jaaya karti thi, apne ashshoori yaaron+ ke paas jo us par marte the.+  uske yaar neele libas pehne ashshoor ke raajyapal aur adhikari the, sundar-sajeele javan the jo badi shaan se ghodon par savaari karte the.  woh ashshoor ke bade-bade aadmiyon ke saath badchalni karti rahi aur un logon ki ghinauni moorton* se khud ko dooshit karti rahi+ jinke liye woh kaamatur rehti thi.  usne misra mein jo veshya ke kaam shuroo kiye the unhein nahin chhoda. jab woh javan thi tab misra ke aadmi uske saath soya karte the aur unhonne use poori tarah bhrasht kar diya. woh uske paas jaakaar apni havaas poori karte the.+  isliye mainne use ashshoori aadmiyon ko de diya jo us par marte the,+ kyonki woh unhin ke liye kaamatur rehti thi. 10  unhonne use poori tarah nanga kar diya,+ uske bete-betiyonn ko usse chheen liya+ aur use talvar se maar daala. woh aurton mein sabse badnam ho gayi thi aur unhonne use saza di. 11  jab uski behen oholeeba ne use dekha to usne apni vaasna poori karne ke liye usse bhi badh-chadhkar badchalni ki. veshya ke kaam karne mein woh apni behen se bhi badtar nikli.+ 12  apni vaasna poori karne ke liye woh pados ke ashshoori raajyapalon aur adhikariyon ke paas jaane lagi,+ un sundar-sajeele javanon ke paas jo badhiya-badhiya libas pehne ghodon par savaari karte the. 13  is tarah oholeeba ne bhi khud ko dooshit kar liya aur mainne donon behenon ko ek hi raah par chalte dekha.+ 14  oholeeba aur bhi badh-chadhkar badchalni karti gayi. usne deevar par sindoori laal rang se rangi kasdi aadmiyon ki nakkashiyaan dekhin, 15  jo kamarband baandhe the aur sir par lahrati sundar pagdiyaan pehne the. ye saari-ki-saari nakkashiyaan kasdiya mein paida huye baibiloni aadmiyon ki thi aur unka rang-roop soormaon jaisa tha. 16  usne jaise hi unhein dekha, woh unke saath sambandh banane ke liye machalne lagi aur usne apne dooton ko un aadmiyon ke paas kasdiya bheja.+ 17  fir baibilon ke aadmi us par pyar lutane uske bistar par aate rahe aur unhonne apni havaas poori karke* use dooshit kar diya. jab woh un aadmiyon se dooshit ho gayi to woh unse ghin karne lagi aur unse munh fer liya. 18  jab woh sharm-haya ki saari hadein paar karke veshya ke kaam karne lagi aur apne tan ki numaish karne lagi,+ to mujhe usse ghin hone lagi aur mainne usse munh fer liya, jaise mainne uski behen se bhi munh fer liya tha.+ 19  woh javani ke un dinon ko yaad karti jab woh misra mein veshya ke kaam karti thi+ aur pehale se bhi badh-chadhkar badchalni karti.+ 20  woh un aadmiyon ki rakhailiyon ki tarah unke paas jaane lagi jinke ling gadhe aur ghode ke ling jaise hote hain. 21  oholeeba, tu aise ashleel kaam karne ke liye betab rehti hai jo toone misra mein rehte vakt javani mein kiye the.+ javani mein vahaan ke aadmiyon ne tujhe bhrasht kar diya tha.+ 22  isliye oholeeba sun, saare jahan ka maalik yahova tujhse kya kehta hai, ‘main tere yaaron ko tere khilaf bhadkane jaa raha hoon+ jinse toone ghin karke apna munh fer liya tha. main unhein chaaron taraf se tere khilaf le aaunga.+ 23  main baibilon ke aadmiyon+ ko aur saare kasdiyon ko,+ pakod, shoa aur koa ke aadmiyon ko,+ saath hi ashshoor ke saare aadmiyon ko tere khilaf khada karoonga. haan, un sabhi raajyapalon, adhikariyon aur chune huye soormaon ko jo ek-se-badhkar-ek sundar-sajeele javan hain aur ghodon par badi shaan se savaari karte hain. 24  woh rathon ki tez ghadghadahat ke saath aur ek badi sena lekar tujh par toot padeinge jo badi dhaalon, chhoti dhaalon* aur top se poori tarah lais hogi. woh tujhe chaaron taraf se gher leinge aur main unhein tera nyay karne ka adhikar doonga aur woh apne tareeke se tujhe saza deinge.+ 25  main tujh par apni jaljalahat prakat karoonga aur woh gusse mein aakaar tera bahot bura hashra kareinge. woh teri naak aur tere kaan kaat daaleinge. tere logon mein se jo bach jaayenge woh talvar se maare jaayenge. woh tere bete-betiyonn ko tujhse chheen leinge aur tere logon mein se jo bach jaayenge woh aag mein bhasm kar diye jaayenge.+ 26  woh tere kapde utaar leinge+ aur tere sundar gehne* chheen leinge.+ 27  main tere ashleel kaamon aur tere veshya ke kaamon ka ant kar doonga+ jo toone misra mein shuroo kiye the.+ tu unhein fir kabhi na dekh sakegi aur na hi misra ko kabhi yaad kar paayegi.’ 28  saare jahan ka maalik yahova kehta hai, ‘dekh, main tujhe un sabke havale karne par hoon jinse tu nafrat karti hai, jinse toone ghin karke apna munh fer liya hai.+ 29  woh tujhse nafrat kareinge, tere paseene ki saari kamai loot leinge+ aur tujhe poori tarah nanga chhod jaayenge. teri badchalni ke sharmnak kaamon ka, tere ashleel kaamon aur tere veshya ke kaamon ka pardafash ho jaayega.+ 30  tujh par yah naubat isliye aayegi kyonki tu ek veshya ki tarah doosre raashtron ke peechhe bhaagti rahi+ aur toone unki ghinauni moorton se khud ko dooshit kar liya.+ 31  toone bhi apni behen ke rang-dhang apna liye hain,+ isliye uska pyala tere haath mein doonga.’+ 32  saare jahan ka maalik yahova kehta hai, ‘tu apni behen ke chaude, gehre pyale se peeyegi,+tu ek mazak bankar reh jaayegi aur teri hansi udayi jaayegi, kyonki us pyale mein yahi sab bhara hai.+ 33  tu apni behen saamriya ka pyala peeyegi,jo khauf aur tabahi ka pyala hai,tu pi-peekar madhosh ho jaayegi aur tera dukh bardasht ke baahar hoga.* 34  tujhe yah pyala peena hi hoga, iski ek-ek boond peeni hogi,+tujhe pyale ke tukde tak chabane honge aur tu maare dukh ke apni chhaatiyaan cheeregi. “yah mainne khud kaha hai,” saare jahan ke maalik yahova ka yah ailan hai.’ 35  saare jahan ka maalik yahova kehta hai, ‘tu mujhe bhool gayi hai. toone meri bilkul bhi kadar nahin ki.+ isliye tujhe apne ashleel kaamon ka aur apne veshya ke kaamon ka anjam bhugatna hi hoga.’” 36  iske baad yahova ne mujhse kaha, “insan ke bete, kya tu ohola aur oholeeba+ ko mera faisla sunayega aur unke ghinaune kaamon ke liye unhein doshi thehrayega? 37  unhonne vyabhichar kiya hai*+ aur unke haath khoon se range hain. unhonne na sirf ghinauni moorton ko pooja* hai balki mere liye unhonne jo bete paida kiye the, unhein bhi moorton ke aage bhog chadhane ke liye aag mein hom kar diya hai.+ 38  aur-to-aur unhonne mere saath yah sab kiya: unhonne us din mere pavitra-sthan ko dooshit kar diya aur mere sabton ko apavitra kar diya. 39  apne beton ko ghinauni moorton ke aage bali chadhane ke baad,+ unhonne usi din mere pavitra-sthan mein aakaar use dooshit kar diya.+ unhonne mere bhavan ke andar aisa kiya. 40  itna hi nahin, unhonne door-door se aadmiyon ko bulane ke liye ek doot bhi bheja.+ jab woh aadmi aa rahe the to toone naha-dhokar apni aankhon ko sanvara aur sundar gehnon se apna singar kiya+ 41  aur jaakaar ek aaleeshan deevan par baith gayi.+ tere aage ek mez thi+ jis par toone mera dhoop aur mera tel rakha.+ 42  vahaan masti mein doobe aadmiyon ki bheed ka shorgul sunayi diya, jinmein veerane se laaye gaye sharabee bhi the. unhonne in donon aurton ke haathon mein kangan pehnaye aur sir par khoobsoorat taaj rakhe. 43  iske baad mainne us aurat ke baare mein, jo vyabhichar karte-karte past ho gayi hai, yah kaha: ‘ab bhi yah aurat veshya ke kaamon se baaz nahin aayegi.’ 44  woh aadmi uske paas jaate rahe jaise koi kisi veshya ke paas baar-baar jaata hai. woh ohola aur oholeeba ke paas isi tarah jaate rahe jo ashleel kaamon ke liye badnam hain. 45  magar nek aadmi un donon ko vyabhichar aur katla ki woh saza deinge jiski woh laayak hain.+ unhonne vyabhichar kiya hai aur unke haath khoon se range hain isliye unka yahi anjam hoga.+ 46  saare jahan ka maalik yahova kehta hai, ‘unke khilaf ek sena laayi jaayegi aur unka aisa hashra kiya jaayega ki dekhnevalon ka dil dehal jaayega aur unhein loot liya jaayega.+ 47  sena un par patthar feinkegi+ aur talvaron se unhein kaat daalegi. woh unke bete-betiyonn ko maar daalegi+ aur unke ghar aag se foonk degi.+ 48  main desh mein ashleel kaamon ka ant kar doonga aur saari aurtein tumse sabak seekheingi aur koi bhi aurat tumhari tarah ashleel kaam nahin karegi.+ 49  tumne jo ashleel kaam kiye hain aur apni ghinauni moorton ko poojkar jo paap kiya hai, uski saza woh zaroor tumhein deinge aur tumhein jaanna hoga ki main saare jahan ka maalik yahova hoon.’”+

kai footnote

matlab “mera tamboo usmein hai.”
matlab “uska tamboo.”
inka ibrani shabd shaayad “mal” ke liye istemal honevale shabd se sambandh rakhta hai aur yah batane ke liye istemal hota hai ki kisi cheez se kitni ghin ki jaa rahi hai.
ya “naajayaz sambandh rakhkar.”
ye dhaalein aksar teerandaz dhote the.
ya “sajavat ki cheezen.”
shaa., “madhoshi aur dukh se bhar jaayegi.”
ya “moorton ke saath vyabhichar kiya.”
yaani parmeshvar se vishvasghat kiya hai.