yahejkel 13:1-23
13 yahova ka sandesh ek baar fir mere paas pahuncha. usne mujhse kaha,
2 “insan ke bete, israel ke un bhavishyavaktaon ke khilaf bhavishyavani kar+ jo khud ki gadhi hui bhavishyavaniyaan sunate hain.*+ unse keh, ‘yahova ka sandesh suno.
3 saare jahan ka maalik yahova kehta hai, “dhikkar hai un moorkh bhavishyavaktaon par jo apne man se bhavishyavani karte hain jabki unhein koi darshan nahin mila hai!+
4 hey israel, tere bhavishyavakta khandharon mein rehnevali lomdiyon jaise ban gaye hain.
5 tum israel ke gharane ki khaatir patthar ki sheharpanah mein aayi dararein bharne unke paas nahin jaaoge+ aur isliye israel yahova ke yuddh ke din khada nahin reh paayega.”+
6 “unhonne jhoothe darshan dekhe hain aur jhoothi bhavishyavani ki hai. yahova ne unhein nahin bheja hai, fir bhi woh kehte hain, ‘yah yahova ka sandesh hai’ aur sochte hain ki unki baat sach niklegi.+
7 tumne jo darshan dekha kya woh jhootha nahin hai? aur haalanki mainne tumhein koi sandesh nahin diya, fir bhi jab tum kehte ho, ‘yah yahova ka sandesh hai,’ to kya tum jhoothi bhavishyavani nahin karte?”’
8 ‘isliye saare jahan ka maalik yahova kehta hai, “‘tumne jo baatein kahi hain woh jhoothi hain aur tumne jo darshan dekhe woh bhi jhoothe hain, isliye main tumhare khilaf hoon.’ saare jahan ke maalik yahova ka yah ailan hai.”+
9 mera haath un bhavishyavaktaon par utha hai jo jhoothe darshan dekhte hain aur jhoothi bhavishyavani karte hain.+ woh un logon mein nahin honge jinke saath main kareebee rishta rakhta hoon aur na hi unke naam israel ke gharane ki naam-likhai ki kitab mein likhe jaayenge aur woh israel desh kabhi nahin laut paayenge. tab tumhein jaanna hoga ki main saare jahan ka maalik yahova hoon.+
10 unke saath yah sab isliye hoga kyonki unhonne yah kehkar mere logon ko gumrah kiya hai, “shaanti hai, shaanti!” jabki shaanti kahin nahin hai.+ jab ek kamzor deevar khadi ki jaati hai to woh uski safedi karte hain.’*+
11 safedi karnevalon se kehna ki woh deevar dhah jaayegi. aisi ghanghor baarish hogi, ole gireinge aur bhayankar aandhiyaan chaleingi ki deevar tootkar gir jaayegi.+
12 aur jab deevar giregi to tumse poochha jaayega, ‘kahaan gayi woh safedi jo tumne ki thi?’+
13 isliye saare jahan ka maalik yahova kehta hai, ‘main krodh mein aakaar bhayankar aandhiyaan chalaunga, gusse mein aakaar ghanghor baarish karaunga aur badi jaljalahat mein aakaar ole barsaunga.
14 main tumhari safedi ki hui deevar tod daaloonga aur zameen par gira doonga aur uski buniyad tak dikhne lagegi. jab nagri gir padegi to tum log uske andar naash ho jaaoge aur tumhein jaanna hoga ki main yahova hoon.’
15 ‘main us deevar par aur uski safedi karnevalon par apna gussa poori tarah utarne ke baad tumse kahoonga, “ab na woh deevar rahi na uski safedi karnevale.+
16 israel ke woh bhavishyavakta ab nahin rahe, jinhonne yarooshalem ko bhavishyavaniyaan sunayi thi aur darshan dekhe the ki vahaan shaanti hai jabki shaanti bilkul nahin thi.”’+ saare jahan ke maalik yahova ka yah ailan hai.
17 insan ke bete, ab tu apne logon mein se un aurton se baat kar jo khud ki gadhi hui bhavishyavaniyaan sunati hain. tu unke khilaf bhavishyavani kar.
18 unse keh, ‘saare jahan ka maalik yahova kehta hai, “dhikkar hai un aurton par jo har tarah ke logon ke liye taaveez banati hain aur har tarah ke logon ke sir ke liye parde banati hain taaki unhein fansakar unki jaan le lein! kya tum mere logon ki jaan ka shikar kar rahi ho aur apni jaan bachane ki koshish kar rahi ho?
19 kya tum mutthi-bhar jau aur roti ke tukdon ke liye mere logon ke beech mera apman karogi?+ mere logon mein se jo tumhari jhoothi baatein sunte hain, kya tum unhein apni jhoothi baaton mein fansakar maar daalogi aur is tarah aise logon ko maarogi jinhein maarna sahi nahin aur aise logon ko zinda rakhogi jo zinda rehne ke laayak nahin hain?”’+
20 isliye saare jahan ka maalik yahova kehta hai, ‘hey aurto, main tumhare un taaveezon ki vajah se tumhare khilaf hoon jinka istemal karke tum logon ka aise shikar karti ho maano woh panchhi hon. main tumhari baanhon se taaveez nikaal doonga aur un logon ko aazad kar doonga jinka tum aise shikar karti ho maano woh panchhi hon.
21 main tumhare parde faad doonga aur apne logon ko tumhare haath se chhuda loonga. iske baad fir kabhi tum unka shikar nahin kar paaogi aur tumhein jaanna hoga ki main yahova hoon.+
22 tumne apne jhooth se nek insan ka hausla tod diya hai+ jabki mainne use koi dukh* nahin diya tha. aur tumne dusht ke haath mazboot kiye hain+ jis vajah se woh apne bure kaamon se nahin firta ki woh zinda bach sake.+
23 isliye ab tum aur jhoothe darshan nahin dekh paaogi aur na hi jyotishi ka kaam kar paaogi.+ main apne logon ko tumhare haath se chhuda loonga aur tumhein jaanna hoga ki main yahova hoon.’”
kai footnote
^ ya “jo apne hi man se bhavishyavani karte hain.”
^ yaani andar ek kamzor deevar banate hain aur us par safedi karke use mazboot dikhane ki koshish karte hain.
^ ya “dard.”