yahejkel 10:1-22
10 fir mainne gaur kiya ki karoobon ke sir ke oopar jo falak tha, uske oopar neelam jaisa kuch dikhayi de raha tha. woh dikhne mein ek raajgaddi jaisa tha.+
2 fir parmeshvar ne malmal ki poshak pehne aadmi+ se kaha, “karoobon ke neeche ghoomte pahiyon+ ke beech jaa aur karoobon ke beech se jalte angare lekar apne donon haathon mein bhar le+ aur unhein shehar par feink de.”+ tab woh aadmi mere dekhte unke beech gaya.
3 jab woh aadmi pahiyon ke beech gaya tab karoob bhavan ke daayin taraf khade the aur bheetri aangan baadal se bhar gaya tha.
4 fir yahova ki mahima ka tej+ karoobon ke paas se utha aur bhavan ke darvaze ki dehleez par jaa thehra. bhavan dheere-dheere baadal se bhar gaya+ aur poora aangan yahova ki mahima ke tej se chakachaundh ho gaya.
5 karoobon ke pankhon ki aavaz itni zordar thi ki baahri aangan tak sunayi de rahi thi aur sarvashaktiman parmeshvar ke bolne jaisi aavaz thi.+
6 fir parmeshvar ne malmal ki poshak pehne aadmi ko yah aagya di: “tu ghoomte huye pahiyon aur karoobon ke beech se thodi aag le.” tab woh aadmi vahaan gaya aur pahiye ke paas khada ho gaya.
7 fir karoobon mein se ek ne apna haath us aag ki taraf badhaya jo unke beech thi+ aur thodi aag lekar malmal ki poshak pehne aadmi+ ke donon haathon par rakh di. woh aadmi aag lekar baahar nikaal gaya.
8 karoobon ke pankhon ke neeche insan ke haathon jaisa kuch dikhta tha.+
9 jab main dekh raha tha to mujhe karoobon ke paas mein chaar pahiye dikhayi diye. har karoob ke paas mein ek pahiya tha aur ye pahiye karketak ki tarah chamak rahe the.+
10 chaaron pahiye dikhne mein ek jaise lag rahe the. aisa maaloom pad raha tha jaise har pahiye ke andar ek aur pahiya laga hai.
11 jab pahiye aage badhte to woh chaar dishaon mein se kisi bhi disha mein bina mude jaa sakte the, kyonki pahiye bina mude usi disha mein jaate the jidhar karoobon ka sir hota tha.
12 karoobon ka poora shareer, unki peeth, unke haath aur pankh aankhon se bhare huye the. unke paas jo chaar pahiye the unke poore ghere mein bhi aankhein-hi-aankhein thi.+
13 fir mainne ek aavaz suni jisne pahiyon ko yah kehkar pukara: “ghoomnevale pahiyo!”
14 harek* ke chaar chehre the. pehala chehra karoob ke chehre jaisa tha, doosra aadmi* ka chehra, teesra sher ka aur chautha ukab ka chehra tha.+
15 ye karoob vahi jeevit prani the jo mainne kabaar nadi ke paas dekhe the.+ karoob jab bhi oopar uthte
16 aur aage badhte to unke saath-saath pahiye bhi badhte the. jab karoob apne pankh uthakar dharti se oopar uthte, tab bhi pahiye karoobon se door nahin jaate the, na hi mudte the.+
17 jab woh jeevit prani kahin ruk jaate to pahiye bhi vahin ruk jaate aur jab woh oopar uthte to saath mein pahiye bhi uthte the, kyonki jo pavitra shakti jeevit praniyon par kaam kar rahi thi vahi pahiyon mein bhi thi.
18 fir yahova ki mahima ka tej+ bhavan ke darvaze ki dehleez se uth gaya aur karoobon par jaa thehra.+
19 mainne dekha ki fir karoob apne pankh uthakar dharti se oopar uth gaye. karoobon ke saath-saath pahiye bhi oopar jaane lage. woh jaakaar yahova ke bhavan ke poorabvale faatak ke pravesh par thahar gaye aur israel ke parmeshvar ki mahima ka tej un par chhaaya raha.+
20 ye vahi jeevit prani the jinhein mainne kabaar nadi ke paas israel ke parmeshvar ki raajgaddi ke neeche dekha tha.+ isliye main jaan gaya ki woh karoob hi the.
21 chaaron karoobon ke chaar-chaar chehre aur chaar-chaar pankh the aur unke pankhon ke neeche insan ke haathon jaisa kuch dikhta tha.+
22 unke chehre bilkul un praniyon ke chehron jaise the jo mainne kabaar nadi ke paas dekhe the.+ har karoob seedhe aage ki taraf badhta tha.+