sabhopdeshak 12:1-14
12 isliye apni javani ke dinon mein apne mahan srishtikarta ko yaad rakh,+ isse pehale ki vipatti ke din aur woh saal aayen+ jab tu kahe: “main zindagi se oob gaya hoon”;
2 isse pehale ki sooraj, chaand aur taaron ki raushni bujh jaaye+ aur moosladhar baarish ke baad* baadal fir ghir aayen;
3 isse pehale ki ghar ke pehredar kaanpne lagein, hatte-katte aadmi seedhe na khade reh sakein, chakki peesnevali aurtein kam ho jaayen aur peesna band kar dein aur khidki se jhaanknevali aurton ke saamne andhera chhaa jaaye;+
4 isse pehale ki sadak ki taraf khulnevale darvaze band ho jaayen, chakki ki aavaz dheemi pad jaaye, chidiya ke chahakne se nind khul jaaye, betiyonn ke gaane ka swar mand padne lage,+
5 unchai se dar lagne lage aur sadak par chalne ka khatra satane lage. isse pehale ki baadam ke ped par fool khilein,+ tidda ghisatte huye chale, kabraa fat jaaye* aur insan apne sada ke ghar ki taraf jaaye+ aur maatam mananevale sadkon par ghoomein;+
6 isse pehale ki chaandi ka taar toot jaaye, sone ka katora fut jaaye, sote ke paas rakha ghada choor-choor ho jaaye aur kuyen par lagi charkhi toot jaaye.
7 tab mitti jis zameen se aayi thi, vaapas usi mein mil jaayegi.+ aur jo jeevan-shakti sachche parmeshvar ne di thi, woh uske paas laut jaayegi.+
8 updeshak+ kehta hai, “vyarth hai! sabkuch vyarth hai!”+
9 updeshak ne na sirf buddhi haasil ki balki woh jo baatein jaanta tha, unhein woh doosron ko lagatar sikhata raha.+ yahi nahin, usne kai neetivachanon ko taiyar karne ke liye* gehrai se socha aur kaafi khojbeen ki.+
10 updeshak ne manbhavne shabd+ dhoondhne aur sachchai ki baatein sahi-sahi likhne mein bahot mehnat ki.
11 buddhimanon ki baatein ankush ki tarah hain+ aur unki kahavatein mazbooti se thonki gayi keelon jaisi hain. kyonki ye ek hi charvahe ki taraf se hain.
12 hey mere bete, in baaton ke alava agar tujhe koi aur baat batayi jaaye to khabardar rehna. kyonki kitabon ke likhe jaane ka koi ant nahin aur inhein bahot zyada padhna insan ko thaka deta hai.+
13 saari baatein suni gayin aur ant mein nichod yah hai: sachche parmeshvar ka dar maan*+ aur uski aagyaon par chal,+ yahi insan ka farz hai.+
14 kyonki sachcha parmeshvar sab kaamon ko parkhega ki woh achhe hain ya bure, un kaamon ko bhi jo auron se chhipe huye hain.+
kai footnote
^ ya shaayad, “ke saath.”
^ ya “bhookh badhanevala fal kisi kaam na aaye.”
^ ya “ko kram se bithane ke liye.”
^ ya “ka gehra aadar kar.”