romiyon ke naam chitthi 13:1-14

  • adhikariyon ke adheen rehna (1-7)

    • kar chukana (6, 7)

  • pyar karna kaanoon maanna hai (8-10)

  • aise chalo jaise din mein shobha deta hai (11-14)

13  har insan unche adhikariyon ke adheen rahe+ isliye ki aisa koi bhi adhikar nahin jo parmeshvar ki taraf se na ho.+ maujooda adhikariyon ko parmeshvar ne apne adheen alag-alag pad par thehraya hai.+  isliye jo adhikar ka virodh karta hai, woh parmeshvar ke thehraye intazam ke khilaf khada hota hai. jo is intazam ke khilaf khade hote hain woh saza paayenge.  raaj karnevalon se woh log darte hain jo bure kaam karte hain, na ki jo achhe kaam karte hain.+ kya tu chahta hai ki adhikariyon se dar-darkar na jeeye? to achhe kaam karta reh+ aur tujhe unse taareef milegi.  isliye ki adhikari tere bhale ke liye parmeshvar ke sevak hain. lekin agar tu bure kaam karta hai to dar, kyonki woh bevajah talvar liye nahin hain. woh parmeshvar ke sevak hain aur jo bure kaam karte rehte hain un par krodh barsate hain.*  isliye uske adheen rehne ki tumhare paas aur bhi zabardast vajah hai, woh yah ki tumhein apne zameer ki vajah se uske adheen rehna hai na ki sirf uske krodh ke dar se.+  isi vajah se tum kar bhi ada karte ho, kyonki woh parmeshvar ke thehraye jan-sevak hain aur is seva mein lage rehte hain.  isliye jiska jo hak banta hai woh use do. jo kar ki maang karta hai use kar chukao.+ jo mahsool ki maang karta hai use mahsool do. jisse darna chahiye usse daro,+ jise aadar dena chahiye use aadar do.+  pyar ke alava kisi bhi baat mein ek-doosre ke karzdar mat bano+ isliye ki jo doosron se pyar karta hai, usne sahi maaynon mein parmeshvar ke kaanoon ko maana hai.+  kyonki ye aagyayen, “tum vyabhichar* na karna,+ tum khoon na karna,+ tum chori na karna,+ tum laalach na karna”+ aur inke saath-saath jo bhi aagyayen hain, sabka nichod is ek baat mein paaya jaata hai, “apne padosi se vaise hi pyar karna jaise tum khud se karte ho.”+ 10  pyar apne padosi ka bura nahin karta,+ isliye pyar karna sahi maaynon mein kaanoon ko maanna hai.+ 11  aisa isliye bhi karo kyonki tum jaante ho ki kaise vakt mein ji rahe ho. ab tumhare liye nind se jaag uthne ki ghadi aa chuki hai+ kyonki jab hum vishvasi bane the, tab ke mukable aaj hamare uddhaar ka vakt aur bhi paas aa gaya hai. 12  raat bahot beet chuki hai, din nikaalne par hai. isliye aao hum andhkar ke kaamon ko utar feinkein+ aur raushni ke hathiyar baandh lein.+ 13  aao hum sharafat se chalein+ jaise din ke vakt shobha deta hai, na ki bekaboo hokar rangraliyaan manayen, sharab ke nashe mein dhutt rahein, naajayaz sambandhon aur nirlajj kaamon* mein doobe rahein,+ na hi jhagde aur jalan karne mein lage rahein.+ 14  iske bajay, prabhu yeeshu maseeh ko pehn lo+ aur shareer ki ichhayen poori karne ki yojnayen mat banao.+

kai footnote

ya “unhein saza dete hain.”
shabdavli dekhein.
ya “sharmnak bartav.” shabdavli dekhein.