romiyon ke naam chitthi 12:1-21
12 isliye bhaaiyo, main tumhein parmeshvar ki karuna ka vaasta dekar tumse guzarish karta hoon ki tum apne shareer ko jeevit, pavitra + aur parmeshvar ko bhaanevale balidan ke taur par arpit karo.+ is tarah tum apni sochne-samajhne ki shakti ka istemal karte huye pavitra seva kar sakoge.+
2 is duniya ki vyavastha* ke mutabik khud ko dhaalna band karo, magar nayi soch paida karo taaki tumhari kaayapalat hoti jaaye.+ tab tum parakhkar khud ke liye maaloom karte rahoge+ ki parmeshvar ki bhali, use bhaanevali aur uski paripoorna ichha kya hai.
3 mujh par jo maha-kripa hui hai, uske zariye main tummein se harek se jo vahaan hai, yah kehta hoon ki koi bhi apne aapko jitna samajhna chahiye, usse badhkar na samjhe.+ iske bajay parmeshvar ne harek ko jitna vishvas diya* hai uske mutabik woh sahi soch banaye rakhe.+
4 isliye ki jaise hamare ek hi shareer mein kai ang hain+ aur sabhi angon ka kaam ek jaisa nahin hai,
5 vaise hi hum bhi bahot hote huye bhi maseeh ke saath ekta mein ek shareer hain aur ek-doosre se jude ang hain.+
6 hum par maha-kripa karke hamein alag-alag vardan diye gaye hain.+ isliye agar hamare paas bhavishyavani karne ka vardan hai, to aao hamein jo vishvas diya gaya hai uske hisab se bhavishyavani karein,
7 ya agar seva ka vardan hai, to aao hum seva mein lage rahein. aur jise sikhane ka vardan mila hai, woh sikhane mein laga rahe.+
8 ya jise hausla badhane ka vardan mila hai, woh aisa karne mein laga rahe.+ jo baantta* hai woh dil kholkar baante,+ jo aguvai karta hai woh poori mehnat* se aisa kare.+ jo daya dikhata hai, woh khushi-khushi daya dikhaye.+
9 tumhare pyar mein kapat na ho.+ buri baaton se ghin karo,+ achhi baaton se lipte raho.
10 ek-doosre se bhaaiyon jaisa pyar karo aur gehra lagav rakho. khud aage badhkar* doosron ka aadar karo.+
11 mehantee* bano, aalsi mat ho.*+ pavitra shakti ke tej se bhare raho.+ yahova* ke daas bankar uski seva karo.+
12 apni aasha ki vajah se khushi manao. museebaton ke vakt mein dheeraj dharo.+ prarthna mein lage raho.+
13 pavitra janon ki zaroortein poori karne mein haath batao.+ mehman-navazee karne ki aadat daalo.+
14 jo tum par zulm karte hain, unke liye parmeshvar se aasheesh maangte raho.+ haan, aasheesh maango, unhein shaap mat do.+
15 khushi mananevalon ke saath khushi manao, ronevalon ke saath roo.
16 doosron ke baare mein vaisa hi nazariya rakho jaisa tum khud ke baare mein rakhte ho. badi-badi baaton ke baare mein mat socho,* balki jin baaton ko chhota aur maamooli samjha jaata hai unmein lage raho.+ khud ko bada buddhiman mat samjho.+
17 kisi ko bhi burai ka badla burai se mat do.+ dhyan do ki sabki nazar mein achha kya hai aur vahi karo.
18 jahaan tak ho sake, sabke saath shaanti banaye rakhne ki poori koshish karo.+
19 pyare bhaaiyo, badla mat lo balki krodh* ko mauka do+ kyonki likha hai, “yahova* kehta hai, ‘badla lena mera kaam hai, main hi badla chukaunga.’”+
20 lekin “agar tera dushman bhookha ho to use khaana khila. agar woh pyasa ho to use paani pila, kyonki aisa karne se tu uske sir par angaron ka dher lagayega.”*+
21 burai se mat haaro balki bhalai se burai ko jeette raho.+
kai footnote
^ ya “uske hisse mein diya; baanta hai.”
^ ya “daan deta.”
^ ya “poore josh.”
^ ya “pehal karke.”
^ ya “kaam mein dheele mat bano.”
^ ya “josheele.”
^ ya “dimag mein bade-bade khayal mat panapne do.”
^ yaani parmeshvar ke krodh.
^ yaani uske sakht dil ko pighlana aur uska gussa shaant karna.