romiyon ke naam chitthi 1:1-32
1 main paulus, jo yeeshu maseeh ka ek daas hoon, tumhein yah chitthi likh raha hoon. mujhe preshit hone ka bulva mila hai aur parmeshvar ki khushkhabri sunane ke liye thehraya gaya hai.+
2 is khushkhabri ka vaada parmeshvar ne pehale se apne bhavishyavaktaon ke zariye pavitra shastra mein kiya tha.
3 yah khushkhabri uske bete ke baare mein hai. woh daavid ke vansh*+ se insan ke roop mein aaya.
4 magar jab use pavitra shakti ki taakat se mare huon mein se zinda kiya gaya,+ to woh parmeshvar ka beta+ thehra. vahi hamara prabhu yeeshu maseeh hai.
5 usi ke zariye hamne maha-kripa aur preshit hone ki zimmedari paayi+ taaki sab raashtra vishvas karein+ aur uski aagya maanein jisse uske naam ki mahima ho.
6 tum bhi in raashtron mein se ho, jinhein yeeshu maseeh ka hone ke liye bulaya gaya hai.
7 main paulus yah chitthi rom mein rehnevale tum sabko likh raha hoon, jo parmeshvar ke pyare ho aur pavitra jan hone ke liye bulaye gaye ho:
hamare pita yaani parmeshvar ki taraf se aur prabhu yeeshu maseeh ki taraf se tumhein maha-kripa aur shaanti mile.
8 sabse pehale main yeeshu maseeh ke zariye tum sabke baare mein apne parmeshvar ka dhanyavad karta hoon, kyonki tumhare vishvas ki charcha saari duniya mein ho rahi hai.
9 parmeshvar, jiski pavitra seva main uske bete ki khushkhabri sunate huye ji-jaan se karta hoon, vahi mera gavah hai ki kaise main hamesha apni prarthnaon mein tumhein yaad karta hoon+
10 aur binti karta hoon ki agar uski ichha ho, to kam-se-kam ab kisi tarah main tumhare paas aa sakoon.
11 kyonki main tumse milne ke liye taras raha hoon taaki tumhein parmeshvar ki taraf se koi aasheesh* doon jisse tum mazboot ho sako.
12 ya yoon kahoon ki main aur tum apne-apne vishvas ke zariye ek-doosre ka hausla badha sakein.+
13 magar bhaaiyo, main nahin chahta ki tum is baat se anjan raho ki mainne tumhare paas aane ki kai baar koshish ki taaki jaise mainne baaki gair-yahoodi raashtron mein achhe nateeje paaye hain, vaise hi tumhare beech bhi paaun. magar ab tak mujhe roka gaya hai.
14 main yoonaniyon aur gair-yoonaniyon, buddhimanon aur moorkhon, donon ka karzdar hoon.
15 isliye tum jo vahaan rom mein ho, main tumhein bhi khushkhabri sunane ke liye betab hoon.+
16 mujhe khushkhabri sunane mein koi sharm mehsoos nahin hoti.+ darasal yah vishvas karnevale har kisi ke uddhaar ke liye parmeshvar ki shakti hai,+ pehale yahoodiyon ke liye,+ fir yoonaniyon ke liye.+
17 kyonki vishvas karnevalon par is khushkhabri ke zariye parmeshvar ki neki zahir hoti hai aur isse unka vishvas mazboot hota hai,+ theek jaisa likha hai, “lekin jo nek hai, woh apne vishvas se zinda rahega.”+
18 jo bhaktiheen aur bure log galat tareeke apnakar sachchai ko daba rahe hain,+ un sab par swarg se parmeshvar ka krodh+ prakat ho raha hai.
19 isliye ki parmeshvar ke baare mein jo kuch jaana jaa sakta hai woh unke beech saaf zahir hai, kyonki parmeshvar ne un par zahir kar diya hai.+
20 uske andekhe gun duniya ki rachna ke vakt se saaf dikhayi dete hain yaani yah ki uske paas anant shakti hai+ aur sachmuch vahi parmeshvar hai.+ ye gun uski banayi cheezon ko dekhkar achhi tarah samjhe jaa sakte hain,+ isliye unke paas parmeshvar par vishvas na karne ka koi bahana nahin bachta.
21 kyonki woh parmeshvar ko jaante to the, fir bhi unhonne uski vaisi badai na ki jaisi karni chahiye, na hi uska dhanyavad kiya, balki khokhli aur moorkhta se bhari baatein sochne lage aur unka nirbuddhi man andhkar se bhar gaya.+
22 woh daava karte the ki woh buddhiman hain magar woh moorkh nikle
23 aur unhonne anashvar parmeshvar ki mahima karne ke bajay, nashvar insan aur pakshiyon aur chaar-paironvale jeevon aur reingnevale jantuon ki moorton ki mahima ki.+
24 isliye parmeshvar ne unke dil ki buri ichhaon ke mutabik unhein ashuddh kaam karne ke liye chhod diya taaki woh apne hi shareer ka anadar karein.
25 unhonne parmeshvar ki sachchai ke badle jhooth par yakeen kiya aur srishtikarta ke bajay uski srishti ki bhakti aur pooja ki. us srishtikarta ki sada taareef ho. aameen.
26 parmeshvar ne un logon ko chhod diya ki woh bekaboo hokar apni vaasna poori karein+ kyonki unki aurtein swabhavik yaun-sambandh chhodkar aswabhavik yaun-sambandh rakhne lagin.+
27 usi tarah aadmiyon ne bhi aurton ke saath swabhavik yaun-sambandh rakhna chhod diya aur aadmi aapas mein ek-doosre ke liye kaam-vaasna se jalne lage. aadmiyon ne aadmiyon ke saath ashleel kaam kiye+ aur apni kartooton ka poora-poora anjam bhugta.*+
28 un logon ko parmeshvar ko jaanna sahi nahin laga.* isliye parmeshvar ne bhi unhein unki bhrasht dimagi haalaat par chhod diya ki woh galat kaam karein.+
29 unmein har tarah ka paap,+ dushtata, laalach+ aur burai koot-kootkar bhari hai aur woh irshya,+ hatya,+ jhagde aur chhal+ karte hain aur doosron ka bura chahte hain.+ woh chugli laganevale,*
30 peeth peechhe badnam karnevale,+ parmeshvar se nafrat karnevale, gustakh, ghamandi, shekhi maarnevale, buri baatein gadhnevale, maata-pita ki baat na maannevale,+
31 samajh na rakhnevale,+ apne vaade se mukranevale, lagav na rakhnevale aur berham hain.
32 woh parmeshvar ke is khare aadesh ko achhi tarah jaante hain ki jo log aise kaamon mein lage rehte hain woh maut ki saza ke laayak hain.+ fir bhi woh na sirf khud aise kaamon mein lage rehte hain balki aise kaam karnevalon ko sahi thehrate bhi hain.
kai footnote
^ shaa., “beej.”
^ ya “tohfa.”
^ ya “badla paa chuke.”
^ ya “yah manzoor nahin tha ki parmeshvar ke baare mein sahi gyaan lein.”
^ ya “gapshap karnevale.”