neetivachan 30:1-33

  • mujhe na gareebi de, na ameeri (8)

  • cheezen jo tript nahin hotin (15, 16)

  • baatein jo samajh se baahar hain (18, 19)

  • badchalan aurat (20)

  • sahaj buddhivale jantu (24)

30  yaake ke bete aagoor ki taraf se zaroori sandesh. yah sandesh itiel aur ookal ke liye hai.   main sabse bada agyani hoon,+logon mein jo samajh honi chahiye, woh mujhmein nahin.   main nahin kehta ki main buddhiman hoon.jitna gyaan param-pavitra parmeshvar ko hai, woh mujhmein kahaan!   aisa kaun hai jo swarg par chadha ho, fir dharti par utra ho?+ kisne hava ko apni donon mutthiyon mein band kiya hai? kisne paani ko apne kapdon mein lapeta hai?+ kisne prithvi ke chaaron kone thehraye hain?+ agar tujhe uska aur uske bete ka naam pata hai to bata.   parmeshvar ka har vachan poori tarah shuddh hai,+ woh unke liye dhaal hai jo usmein panah lete hain.+   tu uski baaton mein kuch na jod,+varna woh tujhe khoob daantegaaur tu jhootha thehrega.   hey parmeshvar, mujhe aur kuch nahin chahiye, bas mere jeete-ji ye do cheezen kar de,   chhal-kapat aur jhooth ko mere saamne se door kar de+aur mujhe na gareebi de, na ameeri. mujhe bas mere hisse ka khaana de,+   aisa na ho ki mere paas bahot ho jaaye aur main tujhse mukarkar kahoon, “yahova kaun hai?”+ ya main gareeb ho jaaun aur chori karke apne parmeshvar ka naam badnam karoon. 10  maalik se uske naukar ki chugli na karna,kahin aisa na ho ki woh tujhe kose aur tu doshi thahre.+ 11  aisi bhi peedhi hai jo apne pita ko badduayen deti haiaur apni maa ke liye unke munh se duayen nahin nikaaltin.+ 12  aisi bhi peedhi hai jo khud ko pavitra maanti hai,+lekin apni gandgi* se shuddh nahin ki gayi. 13  aisi bhi peedhi hai jiski aankhein ghamand se chadhi hain,jiski aankhein ahankar se bhari hain.+ 14  aisi bhi peedhi hai jiske daant talvar jaiseaur jabde chhure jaise hain.woh dharti ke deen-dukhiyonaur gareebon ko faad khaati hai.+ 15  jonk ki do betiyaan hain jo “de do, de do” chillati hain. teen cheezen hain jo kabhi tript nahin hotin,balki chaar hain, jo kabhi nahin kehtin “bas hua!” 16  kabraa,*+ sooni kokh,paani ki pyasi dhartiaur aag jo kabhi “bas” nahin kehti. 17  jo apne pita ka tiraskar karta haiaur apni maa ki aagya ko tuchh jaanta hai,+uski aankhein ghaati ke kauve aur ukab ke bachche nonch khaayenge.+ 18  teen baatein hain jo meri samajh se baahar hain,haan, chaar baatein hain jinhein main nahin samajh paaya: 19  aasman mein udte ukab ki raah,chattan par saanp ki chaal,khule samundar mein jahaz ka maargaur ladke ka ladki se vyavhar. 20  badchalan aurat aisi hoti hai: woh khaa-peekar apna munh ponchhati haiaur kehti hai, “mainne kuch galat nahin kiya.”+ 21  teen cheezen aisi hain jinse dharti kaanp uthti hai,balki chaar cheezen hain jo woh bardasht nahin kar sakti: 22  gulam ka raja banna,+moorkh ke paas dher saara khaana hona, 23  us aurat ki shaadi hona jisse sab nafrat karte hainaur naukrani ka apni maalkin ki jagah lena.+ 24  dharti par ye chaar jantu bahot chhote hain,lekin unmein sahaj buddhi hoti hai:*+ 25  chintiyaan taakatvar nahin hotin,fir bhi garmiyon mein apna khaana batorti hain.+ 26  chattani bijjoo+ balvan nahin hota,fir bhi chattanon mein apna ghar banata hai.+ 27  tiddiyon+ ka koi raja nahin hota,fir bhi woh morcha baandhkar aage badhti hain.+ 28  ghareloo chhipkalee+ panjon ke sahare chipki rehti haiaur raja ke mahal mein paayi jaati hai. 29  teen jeev aise hain jo badi thaat se chalte hain,balki chaar hain, jinki chaal mein shaan nazar aati hai: 30  sher, jo jaanvaron mein sabse shaktishali haiaur kisi ke dar se peechhe nahin hatta.+ 31  shikari kutta, bakraaur apni sena ke aage-aage chalnevala raja. 32  agar toone khud ko uncha uthane ki moorkhta ki hai,+ya aisa karne ki saazish ki hai,to apne munh par haath rakhkar chup reh.+ 33  kyonki jaise doodh mathne se makkhan paayenge haiaur naak marodne se khoon behta hai,vaise hi gussa bhadkane se jhagde paida hote hain.+

kai footnote

shaa., “apne mal.”
ya “sheol.” shabdavli dekhein.
ya “bahot buddhi hoti hai.”