kurinthiyon ke naam doosri chitthi 13:1-14
13 main teesri baar tumhare paas aa raha hoon. “har maamle ki sachchai do ya teen gavahon ke bayan* se saabit ki jaaye.”+
2 haalanki main abhi tumse bahot door hoon, lekin tum yah samajh lo ki main tumhare beech doosri baar maujood hoon. jin logon ne pehale paap kiya tha unhein aur baaki logon ko main abhi se khabardar kar raha hoon ki agar main dobara tumhare paas aaya to unhein zaroor saza doonga,
3 kyonki tum is baat ka saboot chahte ho ki maseeh mere zariye bolta hai, jo tumhare liye kamzor nahin balki taakatvar hai.
4 vaakai woh kamzor haalaat mein kaath par latkakar maar daala gaya, fir bhi woh parmeshvar ki taakat se zinda hai.+ yah bhi sach hai ki hum bhi uski tarah kamzor hain, magar hum uske saath jeeyenge+ aur yah parmeshvar ki usi taakat se hoga jo tumhare andar kaam karti hai.+
5 khud ko jaanchte raho ki tum vishvas mein ho ya nahin. tum kya ho, iska saboot dete raho.+ ya kya tumhein yah ehsas nahin ki yeeshu maseeh tumhare saath ekta mein hai? agar nahin hai to iska matlab tum thukraye gaye ho.
6 jahaan tak hamari baat hai, hum thukraye nahin gaye aur main ummeed karta hoon ki tum yah baat jaan jaaoge.
7 ab hum parmeshvar se prarthna karte hain ki tum kuch bhi galat na karo. yah main isliye nahin keh raha ki hum manzoori paanevale nazar aayen, balki isliye ki tum bhale kaam karte raho, fir chahe hum thukraye huye nazar aayen.
8 isliye ki hum sachchai ke khilaf kuch nahin kar sakte, sirf sachchai ki khaatir hi kar sakte hain.
9 jab bhi hum kamzor hote hain aur tum taakatvar hote ho to hamein khushi hoti hai. aur hum prarthna karte hain ki tum sudhaar karte jaao.
10 main tumse door hokar bhi ye baatein tumhein isliye likh raha hoon ki jab main tumhare beech rahoon, to mujhe prabhu ke diye adhikar ka sakhti se istemal na karna pade.+ yah adhikar usne mujhe tumhein mazboot karne ke liye diya hai, na ki tumhein girane ke liye.
11 ab aakhir mein bhaaiyo, main tumse kehta hoon ki tum khushi manate raho, sudhaar karte raho, dilasa paate raho,+ ek jaisi soch rakho+ aur shaanti se raho.+ tab pyar aur shaanti ka parmeshvar+ tumhare saath rahega.
12 pavitra chumban se ek-doosre ko namaskar karo.
13 sabhi pavitra janon ka tumhein namaskar.
14 prabhu yeeshu maseeh ki maha-kripa aur parmeshvar ka pyar aur uski pavitra shakti tum sabke saath rahe, jisse tum faayda paa rahe ho.
kai footnote
^ shaa., “munh.”