timuthiyus ke naam pehali chitthi 4:1-16
4 parmeshvar ki prerna se kahe gaye vachan saaf-saaf batate hain ki aage aisa vakt aayega jab kuch log gumrah karnevale prerit vachnon aur dusht swargdooton ki shikshaon par dhyan dene ki vajah se vishvas ko chhod deinge.+
2 kyonki woh aise kaptiyon ki jhoothi baaton mein aa jaayenge,+ jinka zameer sunnaa ho gaya hai maano garam lohe se daaga gaya ho.
3 woh shaadi karne se mana kareinge+ aur logon ko aagya deinge ki woh falaan cheezen na khaayen+ jabki parmeshvar ne un cheezon ko isliye banaya hai ki jo vishvas rakhte hain aur sachchai ko sahi-sahi jaante hain, woh dhanyavad dekar unhein khaa sakein.+
4 kyonki parmeshvar ki har srishti badhiya hai+ aur aisi koi cheez nahin jo thukrane laayak ho,+ basharte use dhanyavad ke saath khaaya jaaye.
5 isliye ki parmeshvar ke vachan se aur prarthna ki vajah se woh cheez pavitra ho jaati hai.
6 bhaaiyon ko yah salah dene se tu maseeh yeeshu ka ek badhiya sevak thehrega aur tu vishvas ke vachnon se aur us uttam shiksha se apna paalan-poshan karta rahega jin par tu bade dhyan se chalta aaya hai.+
7 magar parmeshvar ki ninda karnevali jhoothi katha-kahaniyon ko thukra de,+ jaisi boodhi aurtein sunati hain. iske bajay, parmeshvar ki bhakti ko apna lakshya banakar khud ko prashikshan deta reh.
8 isliye ki shareer ki kasrat sirf kuch had tak faaydemand hoti hai, magar parmeshvar ki bhakti sab baaton ke liye faaydemand hai kyonki yah aaj aur aanevale vakt mein bhi zindagi dene ka vaada karti hai.+
9 is baat par bharosa kiya jaa sakta hai aur yah poori tarah maanne laayak hai.
10 iseeliye hum kadi mehnat karte huye sangharsh kar rahe hain,+ kyonki hamne ek jeevit parmeshvar par aasha rakhi hai jo sab kism ke logon ka uddharkarta hai,+ khaaskar unka jo vishvasyogya hain.
11 in baaton ki aagya deta reh aur inke baare mein sikhata reh.
12 koi bhi teri kam umra ki vajah se tujhe neechi nazron se na dekhe. iske bajay, bolne mein, chaalchalan mein, pyar mein, vishvas mein aur shuddh charitra* banaye rakhne mein vishvasyogya logon ke liye ek misal ban jaa.
13 jab tak main na aaun, tab tak logon ke saamne padhkar sunane,+ unhein badhava dene* aur sikhane mein ji-jaan se laga reh.
14 apne us vardan ki taraf laaparvah na ho jo tujhe us vakt diya gaya tha jab tere baare mein bhavishyavani ki gayi thi aur pracheenon ke nikay ne tujh par apne haath rakhe the.+
15 in baaton ke baare mein gehrai se sochta reh* aur inhin mein laga reh taaki teri tarakki sab logon ko saaf dikhayi de.
16 khud par aur apni shiksha par lagatar dhyan deta reh.+ inhin baaton mein laga reh kyonki aisa karne se tu apna aur teri baat sunnaevalon ka bhi uddhaar karega.+