timuthiyus ke naam pehali chitthi 2:1-15
2 isliye sabse pehale main tumse guzarish karta hoon ki sab kism ke logon ke liye minnatein, prarthnayen, bintiyaan aur dhanyavad ki prarthnayen ki jaayen.
2 raajaon aur un sabhi ke liye jo unchi padvi* rakhte hain,+ prarthnayen ki jaayen taaki hum poori gambheerta se aur parmeshvar ki bhakti karte huye chain ki zindagi jeeyen.+
3 yah baat hamare uddharkarta parmeshvar ki nazar mein achhi hai aur use manzoor hai.+
4 uski yahi marzee hai ki sab kism ke logon ka uddhaar ho+ aur woh sachchai ka sahi gyaan paayen.
5 parmeshvar ek hai+ aur parmeshvar aur insanon ke beech+ ek hi bichvai hai+ yaani ek insan, maseeh yeeshu+
6 jisne sabki* khaatir firauti ka barbar daam chukane ke liye khud ko de diya.+ aur is baat ki gavahi sahi vakt par zaroor di jaayegi.
7 yahi gavahi dene ke liye+ mujhe ek pracharak aur preshit thehraya gaya.+ main sach kah raha hoon, main jhooth nahin bolta, mujhe vishvas aur sachchai ke baare mein gair-yahoodiyon ka shikshak thehraya gaya hai.+
8 isliye main chahta hoon ki har jagah aadmi vafadar rehkar haath oopar kiye prarthna mein lage rahein+ aur na krodh karein+ na behas karein.+
9 usi tarah aurton ko chahiye ki woh maryada ke saath aur sahi soch rakhte huye* saleekedar* kapdon se apna singar karein, na ki khaas tareekon se baal goonthkar ya sone, moti ya mehange-mehange kapde pehankar.+
10 woh bhale kaamon se apna singar karein kyonki parmeshvar ki bhakti karne ka daava karnevali aurton ko yahi shobha deta hai.+
11 ek aurat poori adheenta dikhate huye shaant* rehkar seekhe.+
12 main aurat ko sikhane ya aadmi par adhikar chalane ki ijazat nahin deta, iske bajay use shaant* rehna chahiye.+
13 isliye ki aadam pehale banaya gaya tha, uske baad havva banayi gayi thi.+
14 aur aadam behkaya nahin gaya tha, balki aurat poori tarah se behkave mein aa gayi+ aur gunahgar ban gayi.
15 magar ek aurat bachchon ko janm dene se surakshit rahegi+ basharte woh* apna vishvas, pyar, pavitrata, saath hi sahi soch banaye rakhe.*+
kai footnote
^ ya “adhikar ka pad.”
^ ya “sab kism ke logon ki.”
^ ya “samajh-boojh se; samajhdari se kaam lete huye.”
^ ya “aadar ke yogya.”
^ ya “chup.”
^ ya “chup.”
^ shaa., “woh.”
^ ya “samajh-boojh se; samajhdari se kaam le.”