timuthiyus ke naam pehali chitthi 1:1-20
1 main paulus hamare uddharkarta parmeshvar aur maseeh yeeshu jo hamari aasha hai,+ unki aagya se maseeh yeeshu ka ek preshit hoon.
2 pyare timuthiyus*+ ke naam, jo vishvas mein mera sachcha beta hai:+
hamare pita yaani parmeshvar aur hamare prabhu maseeh yeeshu ki taraf se tujhe maha-kripa, daya aur shaanti mile.
3 jab main makiduniya jaanevala tha, to mainne tujhe ifisus mein rehne ka badhava diya tha. ab main tujhe badhava deta hoon ki vahaan jo log alag kism ki shikshayen de rahe hain, unhein aagya de ki woh aisa na karein
4 aur jhoothi kahaniyon par aur vanshavaliyon par dhyan na dein.+ unse koi faayda nahin hota+ balki sirf atkalein lagane ka badhava milta hai aur ye parmeshvar ke us intazam ke mutabik nahin hain jiska naata vishvas se hai.
5 vaakai is hidayat* ka maksad yah hai ki hum saaf dil aur saaf zameer se aur us vishvas ke mutabik pyar karein+ jismein koi kapat na ho.
6 inse bhatakkar kuch log fizool ki baaton mein lag gaye hain.+
7 woh kaanoon sikhanevale to banna chahte hain+ magar jo baatein woh bolte hain aur jin par ade rehte hain, unhein khud nahin samajhte.
8 hum jaante hain ki kaanoon badhiya hai, basharte ise sahi tarah se maana jaaye.
9 is sachchai ko dhyan mein rakhte huye ki kaanoon nek insan ke liye nahin balki aise logon ke liye banaya jaata hai jo dusht+ aur baagi hain, bhaktiheen aur paapi hain, jo vafadar nahin hote,* pavitra baaton ko tuchh samajhte hain, maata-pita ko maar daalte hain, hatyare,
10 naajayaz yaun-sambandh* rakhnevale, aadmiyon ke saath sambhog karnevale aadmi, apharan karnevale, jhoothe, vaade todnevale* aur aisa har kaam karnevale hain jo khari* shiksha ke khilaf hai.+
11 yah khari shiksha aanandit parmeshvar ki us shaandar khushkhabri ke mutabik hai jise sunane ki zimmedari mujhe saunpi gayi hai.+
12 hamare prabhu maseeh yeeshu ka main ehsan maanta hoon jisne mujhe shakti di hai kyonki usne mujhe vishvasyogya maankar apni seva ke liye thehraya hai,+
13 haalanki pehale main parmeshvar ki ninda karnevala aur zulm dhaanevala aur gustakh tha.+ fir bhi mujh par daya ki gayi kyonki mainne yah sab anjane mein kiya aur mujhmein vishvas nahin tha.
14 magar hamare prabhu ki maha-kripa mujh par bahotayat mein hui, saath hi mainne maseeh yeeshu mein vishvas aur pyar paaya.
15 yah baat bharosemand aur poori tarah maanne laayak hai ki maseeh yeeshu paapiyon ka uddhaar karne ke liye duniya mein aaya tha.+ un paapiyon mein sabse bada main hoon.+
16 fir bhi mujh par daya ki gayi taaki is mahapapi ke zariye maseeh yeeshu dikhaye ki woh kitna sabraa rakhta hai aur main un sabke liye ek misal banoon jo hamesha ki zindagi paane ke liye us par vishvas rakheinge.+
17 yug-yug ke raja,+ anashvar,+ adrishya+ aur ekmatra parmeshvar+ ka aadar aur uski mahima hamesha-hamesha tak hoti rahe. aameen.
18 hey mere bete timuthiyus, tere baare mein jo bhavishyavaniyaan ki gayi thi, unhein dhyan mein rakhte huye main tujhe hidayat* deta hoon ki tu inke mutabik achhi ladai ladta reh+
19 aur apne vishvas ko aur saaf zameer ko banaye rakh,+ jise kuch logon ne darkinar kar diya hai aur is vajah se unke vishvas ka jahaz tootkar tahas-nahas ho gaya hai.
20 huminayus+ aur sikandar aise hi logon mein se hain aur mainne unhein shaitan ke havale kar diya hai+ taaki unhein sabak mile ki woh parmeshvar ki ninda na karein.
kai footnote
^ matlab “jo parmeshvar ka aadar karta hai.”
^ ya “aadesh; aagya.”
^ ya “jinmein atal pyar nahin.”
^ ya “swasthyakar; faaydemand.”
^ ya “jhoothi shapath khaanevale.”
^ ya “aadesh; aagya.”