pehala shamooel 14:1-52
14 ek din shaaool ke bete yonatan+ ne apne hathiyar dhonevale sevak se kaha, “chalo, hum us paar palishtiyon ki chauki ke paas chalte hain.” magar usne apne pita ko kuch nahin bataya.
2 us vakt shaaool giba+ shehar ke baahar migron mein anar ke ped ke neeche reh raha tha aur uske saath kareeb 600 aadmi the.+
3 (aheetoob ka beta ahiyah+ epod pehne huye tha.+ aheetoob, ikabod ka bhaai+ aur finehas ka beta+ tha aur finehas, sheelo mein yahova ki seva karnevale yaajak+ eli ka beta+ tha.) un aadmiyon ko pata nahin tha ki yonatan palishtiyon ke paas gaya hua hai.
4 yonatan palishtiyon ki chauki tak jaane ke liye jo ghaati paar kar raha tha, uske donon taraf ek-ek nukeeli chattan thi. ek chattan ka naam boses tha aur doosri ka sene.
5 ek chattan uttar mein khambhe ki tarah seedhi khadi thi aur uske saamne mikmash tha aur doosri chattan dakshin mein thi aur uske saamne geba tha.+
6 yonatan ne apne hathiyar dhonevale sevak se kaha, “chalo hum us paar un khatnarahit aadmiyon+ ki chauki ke paas chalte hain. ho sakta hai yahova hamari madad kare kyonki chahe hum ginti mein thode hon ya zyada, yahova hamare zariye uddhaar dila sakta hai, uske liye koi baat rukavat nahin hai.”+
7 sevak ne usse kaha, “tera dil jo kahe woh kar. tu jahaan chahe vahaan chal, main tere peechhe-peechhe chaloonga.”
8 yonatan ne kaha, “hum us paar un aadmiyon ke paas jaayenge taaki hum unhein nazar aayen.
9 agar woh kehte hain, ‘tum hamare aane tak vahin khade rehna!’ to hum vahin khade raheinge. unke paas nahin jaayenge.
10 lekin agar woh kehte hain, ‘aao, hum par hamla karo!’ to hum oopar jaayenge kyonki yahova unhein hamare haath mein kar dega. yahi hamare liye nishani hogi.”+
11 fir woh donon jaakaar aisi jagah khade ho gaye ki palishti log apni chauki se unhein dekh sakein. palishtiyon ne unhein dekhkar kaha, “woh dekho, ibri aadmi apne bil mein se nikaalkar aa rahe hain, jahaan woh dubke huye the.”+
12 tab palishtiyon ki chauki par tainat aadmiyon ne yonatan aur uske sevak se kaha, “aao, aao, hum tumhein sabak sikhate hain!”+ yah sunte hi yonatan ne apne sevak se kaha, “main aage chalta hoon, tu mere peechhe-peechhe aa. yahova unhein israel ke haath mein kar dega.”+
13 fir yonatan apne haathon aur pairon ke bal oopar chadhkar palishtiyon ke paas gaya. uske peechhe-peechhe uska sevak bhi chadhkar gaya. yonatan palishtiyon par vaar karne laga aur uska sevak bhi uske peechhe-peechhe unhein ghaat karta gaya.
14 yonatan aur uske sevak ne pehali baar jo hamla kiya usmein kareeb 20 palishti maare gaye aur woh bhi aadhe ekad zameen ki lambai ke andar.*
15 tab un sabhi palishtiyon mein aatank fail gaya jo chauki mein tainat the aur jo maidan mein chhaavni daale huye the. yahaan tak ki unke lutere-dalon+ mein bhi khauf sama gaya aur zameen kaanpne lagi. is sabke peechhe parmeshvar ka haath tha.
16 shaaool ke jo pehredar binyameen ke giba mein the,+ unhonne dekha ki palishtiyon mein khalbali machi hui hai aur woh chaaron taraf failti jaa rahi hai.+
17 shaaool ne apne aadmiyon se kaha, “zara ginti lekar dekho ki hamare yahaan se kaun gaya hai.” jab unhonne ginti li to dekha ki yonatan aur uska hathiyar dhonevala sevak gaayab hain.
18 tab shaaool ne ahiyah+ se kaha, “sachche parmeshvar ka sandook yahaan le aa!” (us vakt sachche parmeshvar ka sandook israeliyon ke paas tha.)
19 jab shaaool yaajak se baat kar raha tha, to vahaan palishtiyon ki chhaavni mein aur zyada haahakar machne laga. shaaool ne yaajak se kaha, “tu yah kaam band kar.”*
20 fir shaaool aur uske sabhi aadmi ikattha huye aur palishtiyon se yuddh karne unki chhaavni mein gaye. vahaan pahunchne par unhonne dekha ki palishti ek-doosre par hi talvar chala rahe hain aur har taraf badi khalbali machi hui hai.
21 aur jo ibri log pehale palishtiyon ki taraf ho gaye the aur unke saath chhaavni mein the, woh ab unhein chhodkar shaaool aur yonatan ke saathvale israeliyon ki taraf aa gaye.
22 aur jitne israeli aadmi epraim ke pahadi pradesh mein jaa chhipe the+ unhonne jab suna ki palishti bhaag gaye hain to woh bhi yuddh mein shaamil hokar palishtiyon ka peechha karne lage.
23 is tarah yahova ne us din israel ko bachaya+ aur yah ladai door bet-aaven tak chalti rahi.+
24 magar us din israeli aadmiyon ki haalaat past ho chuki thi kyonki shaaool ne unhein yah shapath dharayi thi, “agar kisi aadmi ne shaam se pehale, jab tak main apne dushmanon se badla nahin le leta, ek nivala bhi khaaya to woh shaapit ho!” isliye kisi bhi aadmi ne kuch nahin khaaya tha.+
25 sabhi israeli aadmi* ek jangal mein pahunche aur vahaan zameen par shehad pada tha.
26 unhonne dekha ki shehad tapak raha hai, magar unmein se kisi ne shehad nahin khaaya kyonki woh sabhi shapath ki vajah se dar gaye the.
27 magar yonatan nahin jaanta tha ki uske pita ne logon ko shapath dharayi hai,+ isliye usne apni laathi badhakar uska chhor madhumakkhi ke chhatte mein daala. fir jab usne haath se shehad lekar munh mein daala to uski jaan mein jaan aayi.*
28 tabhi logon mein se ek aadmi ne usse kaha, “tere pita ne sab logon ko ek shapath dharayi hai aur sakhti se kaha hai ki agar aaj kisi ne kuch khaaya to woh shaapit hoga!+ iseeliye logon ki haalaat itni past hai.”
29 magar yonatan ne kaha, “mera pita desh par bada sankat le aaya hai! dekho, mainne zara-saa shehad chakha aur meri jaan mein jaan aa gayi.
30 agar logon ko dushmanon ki loot mein se ji-bharkar khaane diya jaata to kitna achha hota!+ hum aur bhi badi taadad mein palishtiyon ko maar daalte.”
31 us din woh mikmash se ayyalon+ tak palishtiyon ko maarte gaye aur woh thakkar choor ho gaye the.
32 isliye woh sab loot ke maal par toot pade. woh bhedon, gaay-bailon aur bachhdon ko pakadkar zameen par halal karne lage aur khoon ke saath hi gosht khaane lage.+
33 tab shaaool ko bataya gaya ki log khoon ke saath gosht khaa rahe hain aur yahova ke khilaf paap kar rahe hain.+ is par usne kaha, “tum logon ne vishvasghat kiya hai. tum jaldi se ek bada patthar ludhkakar mere paas le aao.”
34 fir usne kaha, “logon ke paas jaao aur unse kaho, ‘tum sab apna-apna bail aur apni-apni bhed yahaan laakaar halal karo aur fir use khaao. tum khoon ke saath gosht khaakaar yahova ke khilaf paap mat karo.’”+ tab us raat har koi apna bail shaaool ke paas le gaya aur vahaan use halal kiya.
35 fir shaaool ne yahova ke liye ek vedi banayi.+ yah woh pehali vedi thi jo usne yahova ke liye banayi thi.
36 baad mein shaaool ne apne aadmiyon se kaha, “chalo hum raat mein palishtiyon par hamla karte hain aur subah ujala hone tak unhein lootte hain. hum unmein se ek ko bhi zinda nahin chhodeinge.” unhonne kaha, “tujhe jo sahi lage woh kar.” fir yaajak ne kaha, “aao, hum is jagah par sachche parmeshvar se poochhein.”+
37 tab shaaool ne parmeshvar se salah ki, “kya mujhe palishtiyon par hamla karna chahiye?+ kya tu unhein israel ke haath mein kar dega?” magar parmeshvar ne us din use koi javab nahin diya.
38 tab shaaool ne kaha, “logon ke sabhi pradhano, yahaan aao aur pata lagao ki aaj hamare beech kaun-saa paap hua hai.
39 main yahova ke jeevan ki shapath khaakaar kehta hoon, jisne israel ko bachaya hai, jis kisi ne paap kiya hai use maut ki saza di jaayegi, fir chahe woh mera beta yonatan hi kyon na ho.” magar logon mein se kisi ne kuch nahin kaha.
40 tab shaaool ne logon se kaha, “tum sab ek taraf khade ho jaao, main aur mera beta yonatan doosri taraf khade honge.” logon ne kaha, “tujhe jo sahi lage vahi kar.”
41 tab shaaool ne yahova se kaha, “hey israel ke parmeshvar, tummeem+ ke zariye hamein javab de!” tab yonatan aur shaaool chune gaye aur log chhoot gaye.
42 fir shaaool ne kaha, “ab chitthiyaan daalkar+ dekho ki main kasoorvar hoon ya mera beta yonatan.” chitthi yonatan ke naam par nikli.
43 shaaool ne yonatan se kaha, “mujhe bata, toone kya paap kiya hai?” yonatan ne kaha, “mainne apni laathi ke chhor se bas thoda-saa shehad chakha.+ haan, main kasoorvar hoon. main marne ke liye taiyar hoon!”
44 tab shaaool ne kaha, “yonatan, agar tujhe maut ki saza na mili to parmeshvar mujhe kadi-se-kadi saza de.”+
45 magar logon ne shaaool se kaha, “kya yonatan maar daala jaayega jisne israel ko itni badi jeet dilayi* hai?+ nahin, yah hargiz nahin ho sakta! yahova ke jeevan ki shapath, uska baal bhi baanka nahin hoga kyonki usne aaj ke din parmeshvar ke saath milkar kaam kiya hai.”+ aisa kehkar logon ne yonatan ko bacha liya* aur use maut ki saza nahin di gayi.
46 iske baad shaaool ne palishtiyon ka peechha karna chhod diya aur woh apne ilake mein laut gaye.
47 shaaool ne israel par apni hukoomat mazboot ki aur aas-paas ke sabhi dushmanon se yuddh kiya. usne moabiyon,+ ammoniyon,+ edomiyon+ aur palishtiyon+ se aur soba ke raajaon+ se yuddh kiya. woh jahaan bhi gaya dushmanon ko harata gaya.
48 usne badi dileri se yuddh kiya aur amalekiyon par jeet haasil ki+ aur israel ko luteron ke haath se bachaya.
49 shaaool ke beton ke naam hain yonatan, yishvi aur malkeeshooa.+ uski do betiyaan thi, badi ka naam merab+ tha aur chhoti ka meekal.+
50 shaaool ki patni ka naam aheenoam tha jo aheemas ki beti thi. shaaool ke senapati ka naam abner+ tha jo uske pita ke bhaai ner ka beta tha.
51 shaaool ka pita keesh+ tha aur abner ka pita ner,+ abiel ka beta tha.
52 shaaool jab tak jeeya tab tak uske aur palishtiyon ke beech ghamasan yuddh hota raha.+ shaaool jab bhi kisi taakatvar ya bahadur aadmi ko dekhta to use apni sena mein bharti kar leta tha.+
kai footnote
^ yaani zameen ka utna hissa jitna ek jodi bail ek din mein jot sakta hai.
^ shaa., “apna haath khinch.”
^ shaa., “saara desh.”
^ shaa., “uski aankhein chamak uthin.”
^ shaa., “chhudaya.”
^ ya “uddhaar dilaya.”