kurinthiyon ke naam pehali chitthi 10:1-33
10 bhaaiyo, main chahta hoon ki tum yah baat jaan lo ki hamare sabhi baap-daada baadal ke neeche the+ aur woh sabhi samundar mein se hokar guzre.+
2 jab woh baadal ke neeche the aur samundar mein se hokar guzre to unhonne moosa mein baptisma liya.
3 sabne parmeshvar se milnevala ek hi khaana khaaya+
4 aur parmeshvar se milnevala ek hi paani peeya.+ isliye ki woh parmeshvar ki us chattan se peeya karte the, jo unke saath-saath chalti thi aur us chattan ka matlab maseeh tha.*+
5 fir bhi, parmeshvar unmein se zyadatar logon se khush nahin tha isliye woh veerane mein maar daale gaye.+
6 ye baatein hamare liye sabak banin ki hum aise insan na hon jo buri baaton ki khvahish rakhte hain, jaisi unmein thi.+
7 na hi hum moortipooja karnevale banein, jaise unmein se kuch ne ki thi, theek jaisa likha hai, “logon ne baithkar khaaya-peeya. fir woh uthkar mauj-masti karne lage.”+
8 na hi hum naajayaz yaun-sambandh* rakhne ka paap karein jaise unmein se kuch ne kiya tha aur ek hi din mein unmein se 23,000 maare gaye.+
9 na hi hum yahova* ki pareeksha lein,+ jaise unmein se kuch ne uski pareeksha li aur saanpon ke dasne se mar gaye.+
10 na hi hum kudkudanevale banein, theek jaise unmein se kuch kudkudate the+ aur naash karnevale ke haathon maare gaye.+
11 ab ye baatein jo un par beetin, hamare liye misal hain aur hamari chetavni ke liye likhi gayi thi+ jo duniya ki vyavasthaon ke aakhiri vakt mein ji rahe hain.
12 isliye jo sochta hai ki woh mazbooti se khada hai, woh khabardar rahe ki kahin gir na pade.+
13 tum par aisi koi anokhi pareeksha nahin aayi jo doosre insanon par na aayi ho.+ magar parmeshvar vishvasyogya hai aur woh tumhein aisi kisi bhi pareeksha mein nahin padne dega jo tumhari bardasht ke baahar ho,+ magar pareeksha ke saath-saath woh usse nikalane ka raasta bhi nikaalega taaki tum ise sah sako.+
14 isliye pyare dosto, moortipooja se door bhaago.+
15 main tumhein paini samajh rakhnevale jaankar tumse baat karta hoon. tum khud faisla karo ki main jo kah raha hoon woh sahi hai ya galat.
16 dhanyavad ka woh pyala, jiske liye hum prarthna mein dhanyavad dete hain, kya woh maseeh ke khoon mein ek hissedari nahin?+ jo roti hum todte hain, kya woh maseeh ke shareer mein ek hissedari nahin?+
17 roti ek hai aur hum bahot-se hokar bhi ek hi shareer hain+ isliye ki hum sab us ek roti mein se khaate hain.
18 paidaishi israeliyon ki baat lo. jo balidanon mein se khaate hain kya woh vedi ke saath hissedar nahin?+
19 to kya mere kehne ka yah matlab hai ki moorti ya moorti ke aage chadhaya balidan maayne rakhta hai?
20 nahin. balki main yah kah raha hoon ki doosre raashtra jo bali chadhate hain woh parmeshvar ke liye nahin balki dusht swargdooton ke liye bali chadhate hain+ aur main nahin chahta ki tum dusht swargdooton ke saath hissedar bano.+
21 tum aisa nahin kar sakte ki yahova* ke pyale se peeo aur dusht swargdooton ke pyale se bhi peeo. tum aisa nahin kar sakte ki “yahova* ki mez” se khaao+ aur dusht swargdooton ki mez se bhi khaao.
22 ya “kya hum yahova* ko jalan dila rahe hain”?+ kya hum usse zyada taakatvar hain?
23 sab baatein jaayaz to hain,* magar sab baatein faaydemand nahin. sab baatein jaayaz to hain, magar sab baatein hausla nahin badhatin.+
24 har koi apne faayde ki nahin balki doosre ke faayde ki sochta rahe.+
25 gosht-baazar mein jo kuch bikta hai woh khaao aur apne zameer ki vajah se koi poochhtachh mat karo.
26 isliye ki “dharti aur uski har cheez yahova* ki hai.”+
27 agar koi avishvasi tumhein daavat par bulaye aur tum jaana chaho, to jo kuch tumhare saamne rakha jaaye use khaao aur apne zameer ki vajah se koi poochhtachh mat karo.
28 lekin agar koi tumse kehta hai, “yah balidan mein se hai,” to uske batane ki vajah se aur zameer ki vajah se mat khaana.+
29 zameer se mera matlab hai us doosre ka zameer, na ki tumhara zameer. main apni is aazadi ka istemal nahin karna chahta taaki doosre ka zameer mujhe doshi na thehraye.+
30 bhale hi main prarthna mein dhanyavad dekar use khaaun, fir bhi yah dekhte huye ki koi mujhe galat thehra raha hai kya mera khaana sahi hoga?+
31 isliye chahe tum khaao ya peeo ya koi aur kaam karo, sabkuch parmeshvar ki mahima ke liye karo.+
32 tum yahoodiyon aur yoonaniyon ke liye, saath hi parmeshvar ki mandli ke liye vishvas se girne ki vajah mat bano,+
33 theek jaise main bhi sab baaton mein sab logon ko khush karne ki koshish kar raha hoon aur apne faayde ki nahin,+ balki bahoton ke faayde ki khoj mein rehta hoon taaki woh uddhaar paa sakein.+